kya rona buzdili hai??? | |
As'salam O Alaikum, aanso merey tu khair wazahat talab na they
teri hansi ka raz bhi duniya pe faash tha
hum mozu ki talaash main they k ye sher nazar sey guzra aur aik dam khayyal aya k kyu na rone ko hi mozu baana lya jay... yon tu kehtey hain k aurat ka behtreen hatiyaar us k aanso hotey hain ... aur ye k bas auratoo.n ko rone dhone k siwa koi kaam hi nahi hota na khushi dekhain na ghum... per hum sochtey hain k kya mard roya nahi kartey??? kya aanso ka aankh sey behna hi rona hai? kya rona buzdili ki nishani hai? aur ye k kya aap rotey hain? agar haan tu kab aur kyu? aur ro k kaisa mehsoos hota hai ?
aaeye aur rone pe humaraey zehen k goshey main janam lene waley darj bala sawalaat k jawabaaat dene k alawa jo aap chahain is hawale sey kehna kaheye k hum aap k khayyalat jan'naney k mutamani hain1.gif) kabhi hasne sey dartey hain
kabhi roya nahi kartey
aap k tawun ki muntazir HallaGulla intazamiya
Last edited by Shagufta Basit; 06-30-2006 at 10:06 PM.
|