Jaoo tumheyn aazaad kiaa | | Haar hii samjh loo,,,,,,,,,haar giyaa hoon mein,,,, haan mujhey muhabbat naheyn rahii,,,,,,jahaan lufz nashter ban jaeyn wahaan sey dourii hii behter mujhey apnii anna azeez hey haan mujhey azzeez hey khud kii tazleel ka haqq kissi ko naheyn dey saktaa tumheyn bhee naheyn tumheyn too apnii zaat mein somoo kar chaha tha muhabbat kii thii tum sey rishtoon kii paasdaarii unn kii pakeezgii koo humeyshaan mouqadam jaana hey aur jaanta rahoon gaa fitrat mein hey merii,,,,,,,,,tum pey koii ilzaam naheyn lagaoon gaa naa aysaa kar hii naheyn saktaa merii ghuttii mein shamill naheyn,,,,,,,,,,,,,b uss behter yehii key kinaara kr loon karr liyaa,,,,,,koii taasuff koii ranj koii mallal naheyn mujhey,,,,,,,mein ney koii gunnah naheyn kiaa tumharey sang sang poorii deyanat aur jazboon kii poorii sachayoon sey challa hoon mera zameer mujhey kabhii malamat naheyn karey gaa ranj sirf tumharey lufzoon ka tumharey lahjey ka tumharey husn-e-salook ka rahey gaa ,,,,jaoo tumheyn aazaad kiaa apnii muhabbat sey aur khud ko aazaad kia tumharii naam nihaad muhabbat sey .
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |