"Mar'Qud" | | Main Sorung kay Da'hanay par khara hoon .. taveel, ghup andheeri, aur Na'guzeer Sorung maray samne mojood hai .. mare liye koyi aur rasta koyi aur chara nahi .. main aik qadam bhar'haoun ga tu sorung muje nigal jaye gi iske bawajood main yehi qadam uth'tata hoon kyoonk main aisa hi karne ka paband hoon... maray paas intakhab ki gunjaish nahi hai .. main iss sorung main bhatak raha hoon .. rasta tat'tool raha hoon ... main nahi janta sorung ke akhir par kia anjam mera muntazir hai ... roshni aur taza hawa ya pher mazeed andhera, khoof , tanhaye , dewangi, junooon aur khoon ke chaintay..... mager yeh sawal La'hasil hai ... ab maray liye koyi faraq nahi parta.. main is baat ki parva bhi nahi karta k yeh sorung kab kahaan aur kaisay ikhtatam pazer ho gi.....kyoon k ab main ne jaan liya hai k sorung hi meri zindagi hai ... tamam-o-kamal zindagi, yeh sorung jis k ander bachpoan say le kar jawani aur zawal-e-omar tak main baas chalta hi rahoon ga .....baas farak sirf itna hai k yeh sorung zahir ab hoyi hai warna mojood tu shuru say hi thi...main iss sorung main akela hoon aur kisi ko pukar bhi nahi sakta .... awaz doon ga bhi tu kisay pari hai k koyi sunay ga ... in sanatoon main meri awaz Baz'gusht ban kar lout aye gi ... muje baas iss sorung main chalna hai koyi aur rasta jo na hoa mare paas. .. tu pher Pharr'Pharrana bekar hai na .... main chahoon bhi tu mat'ti ki in Dee'O qamat dewaroon say bahar nahi nikal sakta ... ab yehi mera moqader jo tehri.... ab yehi meray wajood ki mustaqil halut hai ... jis qadar jald muje yeh ehsaas ho jaye ga mare haq main utna hi behter hai ... yeh meri Aag'gahi ho gi .................... .. Yeh Sorung tang hi hoti ja rahi hai janay kyoon ..... Uffffff yeh kia cheez hai jo muje Bebas kiye de rahi hai .. kyoon muje apna wajood Kat'ta mehsoos ho raha hai ... yeh Azab-e-Ag'gahi tu nahi .... nahi yeh tu mare Wo amal hain jo main ne Duniya main kiye hain... mare Burre Amal jin ka natija yeh Tareek Sorung hai.............Aaaa h !!!! yeh kia ho gaya ... kyoon main ne Duniya main Naik Amal na kiye , kyoon Nemaz jo Deen ka satoon thi usse Qaza hi karta chala gaya ... Kyoon Roze ki halat main burri batain muuh say nikaleen , Kyoon Hajj karne k baad bhi muj par asaar na hoa , kyoon Zakaat na nikali aur paise ki hawas main andha hi hota chala gaya ... kyoon Jehad jaisa afzel fail na kiya jabke Muslim Um'ma ko zaroorat bhi thi meri .. mare jawan kandhoon ki .......... ab yeh Sorung muje dara kyoon rahi hai... Araay yeh kia yeh tang kyoon ho rahi hai ... uffffffff itni azeyat Aaaaaaaah aaaah ahhhhhhhhhhhhhhhhhhh hhhhhhh......hhhhhhh hh.......hhhh.....hh ...h ......akhir yeh Sorung hai kiya................ .................... .................... .................... Kiya hai yeh !!!!!!!!!!!!!!!!!!!! !
__________________ Signature Removed - Unable to load the image |