Re: Quraan ALLAH tak puhunchnay ka wasila | | Aslaam Alaikum Ham jee..
mazmoon aur mouzu’e mazmoon bohot umdaah hain… khase mufassil pairaey main likha apne @};-… parh kar bohot khushi bhi hui… agar bura na maniey to aik – do jagaa ikhtelaaf hai hamain… :-s
apne likha ke Quran hamarey diloon pe asar nahi karta kiun ke hamari zuban arabi nahi hai… nahi … baat yeh nahi… ham Quran ko uske adaab ke sath nahi parhte… werna us ko yak’soii ke sath parhney ki hidayat na hoti… is main zuban ka farq itna nahi hai…jitna hamari apni ghaflat ka hai.. yeh to haqeeqat hai ke ham usay waisa hi nahi samajh sakte… jaise arabi zuban bolney walay.. ham Ramzan ke ilawa bhi to Quran nahi parhte na bhai, to Ramzan main chahay jitna parh lein, kaise samjheinge ?? aur isi liye hidayat farmaii gaii hai ke Quran ko thehr thehr ke parha karoo…
aur rahi baat Ulma ki andhi taqleed ki… Hadeees ka mafhoom kuch youn hai “ apne zariyoon (resources) ko janch lo…ke baat koon keh raha hai”.. to yeh hamara kaam hai ke ham yeh jannay ki koshish karein ke koon kiya keh raha hai, aur uski baat main kitni sadaqat hai… is main baat kehnay waley ki jitni ghalati hogi…hamari bhi utni hi hogi ke ham ne bina maloomat ke us ki baat ki pairwii ki.
aisey hi mazeed maloomati mazameen ki amaad ki muntazir rahoongi.
likhte raheye………khush raheye…@};-
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |