w.salam main alhumdulillah theek, aap? tehhreer pasand karney ka bhuat bhuat shukriya, hoon tu 17 hi lagti 13 hoon(choti si hon na) samajdar kahan jee , abhi tu tamam umer nadani ki galtiyoon ki kabhi saza tu kabhi khumyaza bhugatna hai....haan rahi baat tajurbay ki tu woh tu har guzarta hova lamha sikha hi deta hai, mujhey bhi shaid kisi rukay hovey, dortay hovey ya pher chaltey hovey lamhey nay sikha diya...abhi sirf akas hai tajurbay ka, zindgi tu in se bhari pari hai....hai na..woh "shazia choudhary" ko kabhi parha nahin, acha likhti hain?
aap ka nik name falak hai yah real name? bhuat khubsorat hai.... zameen pe rehnay waley bhuat se loog issey paney ki tamana kartey hain per zameen, asmaan kay mail bhi kabhi hova kartey hain kiya? anywayz aap apna khiyal rakhiye ga aur hosakey tu duaoon main kabhi bhooley se yaad kar lijye ga. khuda karey aap hamesha khush raheen.
Dua go
Khamoshi
Quote:
|
Originally Posted by F-A-L-A-K Aslam-0-Alyekum
kaisi hain aap ........
Hmmmmm Mayoosi nahi saber ki intaha hai yeh ..... kia baat hai janab .....
yeh tehreer parh kar muje nahi lagta kay aap sirf 17 sal ki ho gi .... tehreer main Sha'oor ki jhalak hai aur sooch main kisi Tajrubay ka Akkas ... Bohut khoooB bohut maza aya yeh parh kar ....
aur aap ki tehreer nay aik bohut achi writer ki yaad dila di shayed kabhi aap ne parha ho unhain "Shazia Chaudhary" |