Quote:
|
Originally Posted by Inam is ki zarurat na thii
pehli baat ye k mein ne ye nahein likha tha k mazmoon apney topic se hata huwa he, balke ye likha tha k aik aad jaga pe aese lagta he k baat mozu se hat gaye he.
Dusarii baat ye k hamare han ye aik aam feshan ban geya he ulama e karam per tanqeed kerne ka, yaqenan tanqeed mein kahein kuch haqiqat bhi hotii he, leykin aksar loog kahi huwe baton hi ko doh rate hein. aor kissi ki neyaton hidden motives per to ham kabhi aese roshni dalte hein jese ye to maloom haqiqatein hon, jab k hamare pas is ko jaanane ka koe bara e raast zareya nahein. Is leye mere kheyal mein ya to kisi k 'asal' iradon ko mozu hi na banaya jaaye, aor agar aesa kerna bohat hi zaruri ho to pir dhos haqiqaton hi ki buneyad per baat ki jaaye, mehs kisi baat ka dava na kia jaaye.
likhte raheye
inam |
hmmmmmm janab aap ka kehna baja hamaiN yaqeenan misalaiN bhi bayan karni chahiyeiN thiiN lekin ab to ghalti ho gai na aainada khayal rakhhaiN gay lekin ye baat to tay hay kay is ikhtelafi masail ko kis nay hawa di is say to sab hi bakhobi aagaah haiN
tareekh say ham buhut zyada waqif nahi magar haal to hamari nazar maiN hay jumay kay khutbay to hamari nazar maiN haiN akhbarat or khabraiN bhi sabhi dekhhtay or suntay haiN
magar kiya sirf aik baat yani ulmaa or unkay ikhtelaaf wali baat ko lay kar sirf iskay muta'alliq hi baat karna kiya ye mazmoon kay sath or hamaray sath ziyadti nahi ??????
__________________
samajajh jata hooN lekin dair say maiN daa'o-pej uskay
woh baazi jeet jata hay meray chaalak honay tak