It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on '' 23rd March Kay Hawalay Say '' within the Urdu Writer's Club forums, part of the Urdu Adab category; Assalam.O.Alaikum Jaisa Kay Ham Sab Jaantay Hai'n Kay 23rd March Ka Tareekhi Din Qareeb Hay...Qaraar Daad-e-Pakistan Ki Manzoori Nay Musalmano'n ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Assalam.O.Alaikum Jaisa Kay Ham Sab Jaantay Hai'n Kay 23rd March Ka Tareekhi Din Qareeb Hay...Qaraar Daad-e-Pakistan Ki Manzoori Nay Musalmano'n Mai'n Aik Nai Rooh Phoonk Di Thi... Aik Muhib.Ul.Watan Pakistani Honay Kay Naatay Pakistan Kay Hawalay Say Aap Kay Kuch Khuaab, Kuch Khuahishaat Zaroor Ho'n Gi.. Apnay Woh Khuaab, Woh Khuahishaat, Aap Ham Say Bhi Share Kijiye....Allah Pakistan Owr Pakistan Say Mohabbat Karnay Walo'n Ko Salamat Rakhay Aameen ![]() ![]()
__________________ |
|
#2
| |||||
| |||||
| Mera dil chahta hia ke PaKistan main Mehgaye kaam hojaye..ke her insan her chez kah sake...her naya kapra pahan sake..jab hum kahe jate hian tu kitna zaiya karte hian..or sath he agey peche mangne wale ajate hain tu inko dekh ker yeh khayal zaror ata hai ke dekho hum kitna ujar rahe hian or inke pass aik waqt ka khana khane ko kuch nai hai...yeh sub chezian mujhe bhot khalti hian....goverment chahe tu sub hosakta hain leken yaha sub apna apna bhurne ko hian...kaash aj ke dor main Koi Quaid-e-Azam Jaisa insan ajaye tu shayad yeh sub masle jo piada hochuke hain wo hal hojaye..bus yeh baat dekh ke dukh hota hia...! or mera khawab ya khawaish yehe hai ke yeh sub chezain sahe hojaye...!
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Pakistan Kay Hawalay Say Mairi Dili Khuahish Owr Maira Khuaab Hay Kay Pakistan Mai'n Sahi Maaino'n Mai'n Islami Nizaam Qaaim Ho...Naam Nehaad Islami Naaray Na Lagaey Jaei'n...Islam Mai'n Jis tarha Ilm Haasil Karnay Par Zor Diya Gaya Hay Usi Tarha Pakistan Mai'n Ilm Ka Farogh Ho..Bacha Bacha Deeni Owr Dunyawi Ilm Ki Dowlat Say Malaa Maal Ho...Sahi Maaino'n Mai'n Ilm Ka Farogh Pakistan Ko Bouhat Say Masail Say Nijaat Day Sakta Hay..Mairi Yeh Bhi Dili Khuahish Hay Kay Pakistan Say Mukhlis Logo'n Ko Hukumrani Naseeb Ho Jo Awaam Ki Madad Say Pakistan Ko Aik Qaabil-e-Rask Muqaam Par Pohncha Dai'n...Allah Koi Aesa Sabab Bana Day Kay Maira Yeh Khuaab, Mairi Yeh Khuahish Poori Ho Jaey...Aameen
__________________ |
|
#4
| |||||
| |||||
| aur meraa yeh ek Hindustani musalmaan hone ke naate du'aa hai k Allah is mulk meN ba-qaul Hayaa saaHiba ke saHeeH ma'noN meN Islami nizaam naafiz hoN aur Naz saaHiba ke kahne ke mutaabiq: ek hii saf meN khaRe ho jaayeN MaHmood o 'Ayaaz na koii banda rahe aur na koii banda-navaaz ham Pakistan kii falaaH o bahbood ke liye du'aago haiN Allah se k use dunyaa ke tamaam musalmaanoN kii rahbarii kii salaaHiyat aur taufeeq 'ataa farmaaye...aameen. magar uske liye: kii MoHammd [s.a.w.s.] se vafaa tuu ne to ham tere haiN yeh jahaaN cheez hai kia lauH o qalam tere haiN +(( aameen +(( summaa aameen +(( Allah Pakistan ko Iqbaal jaisa koii LEADER 'ataa farmaa de jo soii huii qaum ke seene meN sharar phooNk de ...aameen :(
__________________ Khayaal hogaa, junuun hogaa, bahot abhii dil kaa Khoon hogaa bahaar hai door kii Haqeeqat, bahaar rang-e-chaman nahiiN hai Ali Z. Usmani [mere vaalid marHoom] |
|
#5
| |||||
| |||||
| Quote:
Kaash ke yeh khawab pora hojaye agar islami nizam ajaye tu behaye bhi katam hojaye...jo ke log samjhte hain ke wo modern hian ...wo sarasar behaye hai
__________________ ![]() |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
awam tu phir bhi soye se jag sakti hai..leken hukmarano ko kaun jagaye ? hum tu bus apne hisse ka jo karsakte hian wo karlai gai ya phir dua karlai gia
__________________ ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| Quote:
Na Janay Kis Waqt Kis Ki Dua Qubool Ho Jaey..Is Liye Zubaan Owr Dil Mai'n Achi Hi Khuahish Rakhna Chahiye...Sahi Islami Nizaam Mai'n Her Mushkil Ka Hall Mowjood Hay...Pakistan Ko Sahi Maaino'n Mai'n Aik Islami Mumlikat Hona Chahiye...Ham Na Sahi Hamari Aanay Waali Naslai'n Hi Pakistan Ko Aik Qaabil-e-Rashk Mumlikat Daikh Lay... ![]()
__________________ |
|
#8
| |||||
| |||||
| shayad kisi na kisi waqt aisa zaror ho...abhi umeedain katam nahi hue...na umeedi waise bhi kufur hai ![]()
__________________ ![]() |
|
#9
| |||||
| |||||
| Quote:
Ji Bilkul Ham Ko Kisi Bhi Haal Mai'n Na Umeed Nahi Hona Chahiye.. Apnay Achay Maqsad Kay Liye Dua Owr Musalsal Koshish Jaari Rakhna Chahiye...Infiradi Towr Par Bhi Owr Ijtimaai Towr Par Bhi Kabhi Naik Owr Achay Maqsad Say Qadam Peechay Hatana Hamara Shaiwa Nahi Hona Chahiye..Pakistan Kay Liye Jo Kuch Infiraadi Towr Par Ham Kar Saktay Hai'n Woh Ham Ko Zaroor Karna Chahiye..Insha Allah Diye Say Diya Jalta Chala Jaey Ga...![]()
__________________ |
|
#10
| |||||
| |||||
| bus agar her pakistani ki soch aise he hojaye tu wo waqt dor nahi ke jo jo sub sochte hain wo hojaye ..bus yakhjehti ki zarorat hai or qadam se qadam milane ki..hamari haan aika nahi hia...agar koi chez bhot mehngi hojate hia tu hum is chez ka chund din bhi bycot nahi karte ke shayd kisi ko ehsas hojaye..nahi hum wo chez mehngi se mehngi lete rehte hian...rukte nahi hian.chund din sabar karian tu shayad koi hal nikal he aye...aikey ki bhi zarorat hian yaha bhot zaida
__________________ ![]() |