Asalam-0-Alyekum kaise hain aap sab Dost, Ehbab.... Dostoo yeh koye ROMANI KAHANI nahi hai is liye isse "US" Tanazur main mat Parh'hiye ga.... aur TAMHEED kuch lambi ho gaye hai main janta houn lekin yeh 'Sayaq-o-Subaq' Kahani ke Kirdaroun main Mad'Gham hone k liye bohut
zaroori hai..... Mohabat Qayenat ka Khobsurat tareen Lafz hai. Mohabat Khawa kisi bhi shakal main ho duniya ka Maqadus tareen Jazba hai. Rang Roop badalne say iske husan, iske Taqadus aur iski Kashish par koye Aser nahi padta.
Yeh Alamgeer jazba pori Nasal-e-Insaniyet ki Be'Baha meraas hai..........Lekin in sab batoun, Haqeqatoun aur Alfaz ke saath saath yeh baat bhi apni jaga aik ATAL haqeeqat hai k "HUKAM-e-KHUDA'WANDI" ke agay kisi
ki majal nahi ke wo kuch bhi kar sake .... yeh Kahani inhi sab batoun par Mabni hai...Yeh aik Taveel Afsana hai is liye mare saath rahiye ga aap ko Lutf bhi aye ga aur Shayed kuch nayi Jehtoun say bhi mian aap ko ROOSHUNAAS karva sakoun ... isse main Eqsat ki shaqal main Paish karoun ga abhi "Pehli Qist" Molahiza kijiye.......... Aap ki Aa'Raa ka muntazir aur Dua'oun ka talib............
KASHIF ZIA