~*~woh kehta hai mein barish hoon~*~ | | ~*~woh kehta hai mein barish hoon~*~
“woh kehta hai mein barish hoon…kabhi mohabbat ki phuwaar jaisi naram si…kabhi lehjoon ki mithaas jaisi…komal si…kabhi barsoon jo mein chahat mein dasht ko bhi sairaab kardoon..kabhi roothoon jo mein us sai to bahaar ko bhi khizaan kardoon”
aaj badal phir ghir kai ai hain…main kafi dair sai bethi yunhi aasmaan ko dekh rahi thi..jahan badal apas mein janai kya keh rahai thai…kabhi ghir kar atai to yun lagta jaisai abhi baras jain gai aur kabhi yun door ho jatai jaisai kabhi milain gai hi nahi…kafi dair sai ye khel dekh rahi thi…dua kar rahi thi kai aaj barkha jhoom kar barsai…hawain bhi aaj kuch keh rahi theen..shayad unhain bhi intezar tha us lamhai ka jab who bheeg kar fizaa ko sairaab kardain…aaj mujhe yun mehsoos horaha tha jaisai puri kainaat in badloon ka raks dekh rahi hoon..kabhi in sai shikwa kar rahi hoo kai barastai kyon nahi aur kabhi in sai ilteja kar rahi ho kai who is ki pyas bhuja dain…mein bhi sochoon mein gum janai kab sai ye khel dekh rahi thi….kai achanak..tip tip tip barish ka pehla katra meri hatheli par gira..aur mein nai hatheli yun band karli jaisai ye darr ho who kahin kho na jai..magar phir jo nazrain utha kar apnai aas paas dekha to barkha nai jaisai sab kuch jal thal kardiya tha…aaj wakai barkha jhoom kar barsi thi…aur mein to thi hi sada barish ki deewani..is kai har rang sai mujhe ishq tha…so mein bhi is sang jhoom uthi..
woh na janai kab sai khirki mein khara mujhe dekh raha tha…magar us nai mujhe roka nahi awaaz nahi di..janta hai mein us kai rooknai sai rukoongi nahi..janai kyon usai hamesha barish sai mera ye ishq acha lagta tha so woh bina kuch kahai bina kisi ahat kai bas mujhe dekhta raha…mein nai zara si nazrain utha kar khirki ki oor dekha aur usai neechai anai ka ishara karke khud phir magan hogai..aisa hi hamesha hota hai…woh mujhe waheen khara dekhta rehta muskurata rehta aur mein hamesha usai anai ka ishara karti…aaj bhi wohi hua..woh waheen sehan mein beth kar mujhe dekhnai laga…na janai hi hamesha kin sochoon mein gum hojaya karta tha ..jab bhi nazar uth ti hamesha shararat bhari nazroon sai hi dekhta paya usai aik meherbaan muskaan laboon par sajai mujhe dekhta rehta…magar woh jo mujhe kabhi barish ki boondoon sang khelta dekh kar pukara na karta tha aaj us nai mujhe awaz di aur kaha
"kya pagal ho janti ho sardiyoon ki barish hai beemar ho jao gi
kuch nahi hota mausam ki pehli barish hai kuch nahi hoga
kya mausam ki pehli barish kuch alag si hoti hai
haan alag si hoti hai aik umeed aik khushi ban kar aati hai
tum wakai pagal ho
kitni baar kaho gai yehi
jitni baar tum suno gi "
aur mein muskura di janti thi isai meri fikar hai ye bhi janti thi kai mujhe rokai ga nahi lekin jab tak mein thak nahi jaoongi yaan mera dil nahi bhar jai ga who yunhi mere aas paas rahai ga aur mujhe hamesha ye lamhai bauhat achai lagtai hain..khamosh sai lamhai jin mein hum kuch na bhi keh kar bauhat kuch keh jaya kartai thai…magar aaj mera dil kar raha tha who bhi is mausam ki pehli barish ko mehsoos karai..so mein nai hathoon kai payalai mein paani bhar kar us par uchala..to woh jo mujhe dekhai ja raha tha khud hi chaunk kar poochnai laga…
"ye kya kar rahi ho
kuch nahi chahti hoon tum bhi ye mehsoos karo
kya mehsoos karoon
mausam ki pehli barish
mein hamesha mehsoos karta hoon
woh kaisai kabhi bheegtai to ho nahi
mein mausam ki har barish tum mein mehsoos karta hoon
bheeg to gaya hoon tumhari mohabbat mein "
woh jo kabhi kuch na kehta tha aaj janai kyon sab keh gaya tha..."tum to hamesha yehi kehtai ho kai izhaar ko lafzoon ki zaroorat nahi to phir aaj "
"haan aaj janai kyon dil cha raha hai tumse ye sab baatain kahoon aur dekhoon tumharai chehrai par un jazboon ka rang jo tumhari ankhoon mein nazar ata hai "
aur mein us ki is baat par hairaan thi...bas usai dekhai gai to woh dheerai sai mera hath thaam kar bola..
"suno…
itni hairaan kyon ho rahi ho
tum hairaan kar rahai ho
kyon
kyon kai aaj sai pehlai tumne kuch kaha nahi aur aaj ye
haan aaj ye sab mein kahoonga tum suno gi"
aur mein kya karti sirf muskura kar usai dekhnai lagi aur woh kehta raha
haan sahi keh raha hoon mein barish tum mein mehsoos karta hoon
tumhari hansi mein tumhari khushi mein
tumhari mohabbat mein
hairaan ho rahi ho na aur mein nai sirf sar hila diya nahi chahti thi ye sehar tootai
haan mujhe tum barish jaisi lagti ho
naram naram si phuwaar jab parti hai
to yun lagta hai jaisai tumhari hansi ki jaltarang har taraf ho
sard si hawain jab bheegti hain
to yun lagta hai jaisai kahin ghata cha gai ho
jaisai barish ki boond fiza ko taaza karti hai
waisai hi tum meri zindagi ki taazgi ho
jaisai barish ki ye boond sehra ko gulshan karti hai
waisai hi tumhari mohabbat mere dil ko abaad karti hai
mujhe tum is barish jaisi lagti ho
jaisai ye apnai sang khushyaan lai kar ati hai
tum khushyaan baant ti jaati ho
jaisai ye bahaar ka samaan laati hai
tum waisai hi meri zindagi mein raushni lai ho
jaisai ye umeed ban kar barasti hai
tum mujh par wafa ban kar chai rehti ho
to batao phir mein mehsoos kaisai nahi karta barish ko
ye barish to mausam kai sath ati hai
meri barkha to mere sath har pal rehti hai
meri sansoon mein meri ankhoon mein
meri rooh mein meri zaat mein"
aur mein us ki deewangi par bas hans di aur woh jo bas ek tik mujhe dekhai ja raha tha haulai sai mere paas akar us nai sirf itna kaha
“haan mujhe tum barish jaisi lagti ho "
__________________
Last edited by Diya; 01-12-2006 at 11:24 AM.
|