
01-07-2006, 02:25 PM
|
 | Member | | | Join Date: Nov 2004 Location: N!RVANA
Posts: 3,771
Country: Tutorials:
0 Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 514 | |
Re: Writer of the month "December" | | 5. Kia aap apni pehli tehreer hamaray sathio kay sath share karain gi? Ji zaroor @};- Roh.dad-e-Hasti
...Bohat khubsurat Mar.marin jism ka aik mahil tha yahan Badsha Salamat Dil Naz ki hakomat thi aur aik Danish Darbaan tha jo mahal ka pasbaan tha.
Bohat say mulk.on kay sefarat ka.ron ka mahil may ana jana laga rehta tha... Badsha Salamat Dil Naz kay khaloos, ikhlaq aur mahiz.bani ki masalain duniya bhar may mashoor ho.in aur in kha.susiyat kay mubadil bohat say tofay tahaif kay silsalay Mar.marin jism kay mahil ki khobsurati aur fardiyat ko sajanay aur lubahanay lagay. Tahaif may sab say zada tasaweer ki shumari thi, jis say Mar.marin jism kay mahil kay dar-o-dewaar saja kartay thay.
Danish Darbaan, Mar.marin jism kay mahal ka khandani wafadar tha. Mahil ki hifazat ka zimah yani is ka awal.in farz tha, jesay wo ba.khoobi nibhata aya tha. Lakin ye shandar tofay tahif ka silsalah, sefarat ka.ron ka ana jana osay din raat parishaan karnay laga. Wo is tarhan kay kahin, kisi rooz lotay.roon ki nazar-e-bad Mar.marin jism kay mahil ko laag nah jai aur wo isay lootnay ki sazish.ain bana.in. Aain mumkin tha kay lootaray atay aur loot-maar may Mar.marin jism kay mahil ki dar-o-dewaar ko choo kay jatay, achu.tay jism par nishaan laag jatay. So Danish Darbaan nay hifazati ta.dabeer akhtiyar kartay howay sari tasaweer Mar.marin jism kay mahil ki diwaroon say utar kar, unhain tah.khanay ki bharakti aag ma jhonk dia. Danish.mandi ka to, yahi takaza tha..
Bila.shuba Danish Darbaan bohat hak.eem tha, magar os ka ye faisal.ah do-dhari talwar tha. Badsha Salamat Dil Naz ko is ki khabar hoi, be.shak unhain Danish Darbaan kay faisalay par pora etimaad tha lakin unhain is zi.aah ka bohat sadma bhi pohancha. Badsha Salamat Dil Naz kay liye ye tofay, goya tamga-e-aizaz aur tasaweer khubsurat yadain thin. Wo bohat khamosh kamosh rahnay lagay. Har naye pegaam-e-mulakat ko mul.tavi kartay rahay aur ahista ahista ake.lay.pan ka roog unhain andar hi andar khanay laga. Aur jo khuch bhi howa jesa bhi hota chala gaya, wo kesay na hota? Akhir ye tofay aur tasaweer Mar.marin jism kay mahil ki zeenat thay, ro.nak thay aur khatra bhi…
Mar.marin jism kay mahil say jasoos hawa.oon ka bhi guzar tha. Badsha Salamat Dil Naz ki halat-e-na.saas ki khabar pahlanay lagin. Dushman wahstoon nay Mar.marin jism kay mahil ko char.on taraf say ah ghaira. Danish Darbaan nay apnay awal.in faraz yani Mar.marin jism kay mahil ki hifazat ki jaang ba.khoobi larai. Par dushmaan bohat zoar-awar tha so Danish Darbaan nay apnay katay par.oon ki aik baag.i banai aur Badsha Salamat Dil Naz ko khofia rasta dikhaya. Rasta sun.saan tha so Danish Darbaan nay umeed ka aik diya jalaya aur Badsha Salamat Dil Naz kay hath may tha.maya. Phir bohat ahtaram say Badsha Salamat Dil Naz kay kaan may kaha kay ye rastah sidha Takdir Mahil ko jata hay. Sunaye may aya hay udhar ki fooj bohat bari aur ja.deed hat.yaar say mal.boos hay. Shahid Takdir Mahil say kuch, jaang jitnay ki, akhiri tabir milaye...
So Badsha Salamat Dil Naz safar-e-umeed par rowana hove aur kamyaabi say Takdir Mahil pohanchay. Badsha Salamat Dil Naz nay Takdir Mahil ki Malika-e-Takdir say fori mulakat ki arzi ki. Par afsoos Malika-e-Takdir apni khawab.gah may mah.ve aram thi. Kisi kisam ki mada.khlat asay alam may mam.noo thi. Badsha Salamat Dil Naz ka dil mayoosi ki karhi dhoop say jal gaya aur unho nay wa.hin Takdir Mahil ki cho.kat par da.am toor dia…
Bohat khubsurat Mar.marin jism ka aik mahil, Badsha Salamat Dil Naz aur Danish Darbaan dar.hakikat aik hi shak.siyat kay 3 pahloo hain… Aaj bhi Mar.marin jism kay khanda.raat, khiyal nagar may, asar-e-kadima ki tarhan is baat ki tas.dik kartay hain kay ye Roh.dad-e-Hasti meri aik hakikat hay…
Aik dafa ka zikar hay...
04-27-2005 |