Re: Writer of the month "December" | | 1. Aap ka naam ? Meray saab dost mujhay 'Shokh' kah kar hi bulatay hain @};-
2. Tarikh'e paidaish? 24th July 1976 @};-
3. Aap nay adbi safar ka aghaz kab shuru kia? Mera adbi safar HG join karnay kay baad shoru howa yani November 2004, is say pahlay shair o shairi parhnay ki had tak pasand thi @};-
4. Kis baat say mutasir ho kar likhna shuru kia? Koi khas wajahay nahi thi bas aik din asay hi dil kia kay kuch likhti ho Shoru may kuch poetry ki lakin jald hi nasar ki taraf rojhaan barh gia @};-
Last edited by Shokh; 01-07-2006 at 03:02 PM.
|