aik chhoti si koshish ,,,,,,,,,, tanqeed ki muntazir
uff kis qdar yakh pani hay!! bachaaonbachaao koi hay ? tthanday yakh pani maiN mera jism sun hota ja raha tha....... reh reh kar ghussa aaraha tha apnay oopar , rona aaraha tha apni be'basi par kitna mana kya tha sab nay .......keh aaj samundar buhut chaRha hua hay aagay na jana magar mujhay to khabt swaar tha aesa lagta tha samundar mujhay aawazaiN day raha hay ,apni taraf bula raha hay or maiN us ki kasish maiN mukammal tour par giriftaar hogaya tha
kaash maiN sab ki baat maan jata aaj hi to us nay pochha tha _____kabhi samundar ki kashish ko mehsoos kya hay ? maiN nay kaha tha haaN buhut ....
kehnay lagi iski kashish buhut jaan lewa hoti hay bilkul muhabbat ki tarah kinaray khhaRay raho to khubsorat magar kabhi aagay baRhnay ki koshish na karna jaan say jao gay buhut be'rehem hota hay apni taraf aanay walay ko na ye ma'af karta hay na muhabbat ma'af karti hay maiN nay kaha tum to bilkul pagal ho jab tak samundar ki gehrai maiN na utraiN gay to pata kesay chalay ga samundar kitna gehra hay is maiN kitnay khazanay dafan haiN kehnay lagi haaN lekin har koi ye koshish nahi kar sakta ye tajarba to wohi karay jisay terna aata ho maiN nay kaha terna seekhha bhi to ja sakta hay ye suntay hi aik qehqaha lagaya or kaha ye har kisi kay bas ki baat nahi hoti or aik dam sanjidah hogai or kehnay lagi tum ye koshish kabhi na karna or bhagti hoi chali gai
koi hay koi hay ? bachaao !! us nay sahi kaha tha ye har kisi kay bas ki baat nahi hoti ..............