
12-25-2005, 03:26 PM
|
 | aka Basit Habib | | | Join Date: Aug 2004 Location: London Age: 37
Posts: 38,841
Country: Tutorials:
0 Thanks: 1,061
Thanked 530 Times in 282 Posts
Nominated 6 Times in 5 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 1000 | |
Re: Contest For New Year 2006 | | Moh'Lat Lamhay Din Maheenay Saal.. Ik Pay Dooja Girta Jaye.. Haath Mein Laykin Kuch Na Aye.. Ik Mohlat Lay Kay Aaya Tha.. Jaanay Kitnee Beet Gaie.. Jaanay Kitnee Baki Hai..!!!
Saal Naya Hai Charhnay Waala.. Uss Mein Jaanay Kaya Kaya Hoo.. Janay Kitnay Lamhay Hoon... Din Bhi Hoon Maheenay Bhee..! Ya Lamhoon Ke Hum Aas Lagaye.. Ik Lamha Ban Kay Reh Jayain.. !!!
Yeah Bhaid Bhala Hai Kiss Nay Jaana.. Saal Naye Mein Kaya Kaya Hoo.. Phool Khillain Ya Murjhain.. Hum Jee Sakkain ya Mar Jayain.. Lamhay Din Maheenay Saal.. Ik Ik Kar Kay Girtay Jayain..!!!
Mohlat Mohlat Kartay Hum Nay.. Saree Mohlat Hath Ganvaee.. Kitnee Mohalat Baaki Hai.. Koun Bhala Hai Bat'laye.. Raaz Bara Yeah Gehra Hai.. Kiss Nay Iss Ko Jana Hai.. ? Umar Beetaye.. Kis Ko Paaya.. Kissay Ganwaya.. Mein Kaya Jaano.. Kaya Tum Nay Jana... ?
Yeah Khail Niraala Qudrat Ka.. Hum Maatee Kay Hein Baway Iss Mein.. Har Ik Ke Muthee Mein Rait Zara See.. Raiza Raiza Siraktee Jaye..Haath Mein Aye Mohlat Mairay.. Jo Lamha Lamha Guzartee Jaye.. Rokoon Iss Ko.. Ruk Na Paye.. Koun Iss Ko Rouk Hai Paya.. Iss Nay Tu Guzarna Hai.. !!
Naya Ho Ya Puraana Hoo.. Yeah Saal Tu Buss Ik Mohlat Hai.. Jo Beet Gaya Hai.. Uss Ke Soocho.. Uss Mein Kaya Kuch Paaya Hai.. Aur Kitna Kuch Ganwaya Hai.. Yeah Aanay Waala Saal Tu Bus.. Samjhoo Ik Behlawa hai.. Jo Haath Tumharay Aaya Hai.. Bus Wohee Ik Sarmaya Hai.. !! Basit Habib December 25th, 2005 |