ye meri pehli koshish hay ummeed hay pasand aaey gi or na aaey tooooooooooo koi masla nahi tanqeed ka haq hay aap ko kyoNkay insaan ko tanqeed ki zaroorat zyada hoti hay basharte'keh tanqeed baraey tanqeed na ho :cry6
ham jab bhi koi nazam ,ghazal ya koi bhi tehreer paRhtay hain or wo tehreer hamaray dilooN kay tarooN ko hila bhi day to be'sakhta ham us kay khaliq ki tareef par majboor ho jatay haiN or agar wo tehreer hamaray jazbaat-o-aeh'sasaat ki tarjumaani bhi karti ho to sonay par suhagah phir hamaiN us tasneef kay writer say aik unsiyat si mehsoos honay lagti hay or ham writer kay dekhay bagher hi us kay maddah hojatay haiN or sochtay haiN kay jab is ki tehreer itni achi or dilooN ko choo lenay wali hay to ye khud kitna acha hoga
or ye bhi kaha jata hay kay kisi bhi shakhs ki tasneef ya takhleeq us ki shakhsiyat ka partou hoti hay
ab agar ham is kae'naat ki taraf nazar doRaeN haray bharay khait ,khoubsorat baghaat ,oNchay oNchay pahaaR ,badal ,samandar,darya ,sehra ,chaNd ,soraj ,taray ,barish ,din raat ka aana jana ye sab kis ki takhleeq haiN US RABB-E-ZULJALAAL ki
kya ham nay kabhi socha hay jis nay ye sab haseen-o-jameel cheezaiN banai haiN jis ki khoubsorti ko dekh kar insaan mabhoot hojata hay WOH KHUD KESA HOGA ?????????