Rishtay !!! | | Rishtay Khuda ki kudrat hain… maa baap, bhai behan os Pak zaat ki dain hain, jo bin mangay deta hay...Par… kuch rishtay ham khud banatay hain, zindagi ko mazeed sajatay hain @};-
Haan, kuch rishtay kudarti nahi hotay par Khuda ki kudrat say hamain miltay hain... batoor tofa ! Wo bhi ek din asay hi mila tha mujhay… achanak… Yahi koi 9 - 10 saal ka tha... ma oskay andar kay bachay ko janti ho khoob pahchanti ho !
Kal raat ma nay ek khawab daikha ... may nay daikha… ek sunsaan si haweli thi, haweli kay sehan may charagan tha… ek jhameela tha, ronak thi, khushion ka mela tha… raat ghari thi aur raat may jaag maag jaag maag diyon ki loh, sunahri thi… Shaid shadi thi kisi ki , khoob shadmani thi lahmo ki rawani thi… Dhool bajtay thay aur chahray hastay thay… Ma khushion may magaan phir bhi dil ma thi ek agaan… jesay koi dur say takta ho, meray pass anay ki hasrat rakhta ho… ma nay ird gird nazar dhorai, beechani may khooj lagai… wo dur ek satoon say lipta, choori choori weraan ankhoon may khushian bhar raha tha, pass anay say daar raha tha… ma bhaag kar oskay pass ai aur apnay ghutno kay baal baith kar oski janib bahain phalai… wo khil khila kar hansa aur sherarat say do kadam peechay hata… phir do kadam aur, aur phir aur... kabi is satoon kay peechay say awaz lagai kabi os satoon kay peechay chup jai… ''aapi ma yahan ho, aapi dhoondo mujhay'' khanakti hoi oski hasi meri betabi barhai meray kadam uthtay hi chalay jain... kay achanak thookar lagi aur ma gir pari… wo hirat may chonka aur dhoor kar meray pass ah gia, mujh say lipat gia… wo lipta to asay laga jesay mera sara dard os may jazb ho gia, oskay piyar may khoo gia… Bohat pyara sa, nana sa muna sa shetaan… mera ek bhai… yahi koi 9 - 10 saal ka…
Ma nay bohat piyar say osay goodh may baithaya, phir apnay hathoon say oska ka chehra sahlaya… tab oski ankh ma ek tara utra aur jhilmila kar oskay ruksar say hota howa meri jhooli may ah gira… Ma nay hirat say oska jaiza lia, oska chehra pooncha aur poocha, ''beta, tum nay kapray nahi badlay? Nahaye bhi nahi'' Kahnay laga ''aapi duniya bohat zalim hay, itna kafi hay kay taan par kapray hain aur nahaya nahi, (wo khil khala kar hasa) aapi yateem ko koi peenay ko pani nahi poochta aap nahanay ki baat karti ho'' Apni umar say barh kar oski baatain thin, halat nay oski sochain tarashi thin… wo meri taraf bohat masoomiyat say asay daikh raha tha jesay ma bohat bhooli ho… haan shaid… meray sar par maa baap ki shafkat ka saya tha par… par meray dil say oskay dil ka rishta hay... ma oska har ghaoo mahsoos karti ho aur apni shafkat ka daam un may bharti ho….
Bas ma nay oska hath mazbooti say thama aur sakht lahjay may os say kaha ''Suno, raat kohra barsati hay, daikho asay may thaand laag jati hay… aab tum kahin nahi jao gay, chalo meray sath... meray, ghar chalo'' ... Par... wo rishtoon say darta tha, oskay andar to rooz koi marta tha… So wo Cheek kar kahnay laga ''aapi, saab chalay jatay hain, sath kahan nibhatay hain? rishtay jab choot jatay hain to yateemi ka ahsas aur barhatay hain'' ye kah kar osnay apna hath choraya aur bohat taizi say bhaaga, aur daikhtay hi daikhtay meri nazroo say ojhal ho gia… Mera Ladla ruth gia, oska hath choot gia… mujh say wo rutha jo, mera khawab toota to… oski ankh ka tara meri ankh may utar aya…
Raab janay kab lotay ga @};-
Last edited by Shokh; 10-25-2005 at 04:10 PM.
|