View Single Post
  #8  
Old 10-13-2005, 05:47 PM
DESIRE KILLER's Avatar
DESIRE KILLER DESIRE KILLER is offline
Senior Members
 
Join Date: Feb 2004
Age: 22
Posts: 380

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 184
DESIRE KILLER is on a distinguished road
Default Re: ~**~Topic Of The Week (Ajj Or Muslman)~**~

Assalamoalaikum.....

Kabhi a'ay naujawa'n muslim tadabbur bhi kiya tu nay
Woh kiya gardoo'n hay jis ka tu hay ik toota hua taara

HUm Alhamdulillah muslaman hain.... laikin naam kay har ghalati har kootaahi hum islam ka libaada orh kay deen ki shaffaf chadar main chupa kay kartay hain ....
jab aamaal ka daroomadaar niat par hay to baat niat say shuroo ho kay niat pay khatam ho jaati hay .. hamaari niatain saaf nahi , hamain kisi taur chain nahi hay sukoon nahi hay ,, tajassus hum main hay .. lalach hum main hay ... beimaani hum main hay aur AAj yyehi sab to aam hay aur khaas tor pay muslim ummah main aisa kuon ? ye kuon sirf sawal nahi hay almiya hay hum nay apni bunyaad ko khud khookla kya hay ,,, QURAAN PAK hidaayat ka zarya jis main tamam aalamoo'n kay raaz panhaa'n hain us ki rahnumaai laina choor di hay hum nay hum jab hi KHUDA ko pukaartay hain jab hum par afaat aati hain aur aaj ka musalman is liyay bohat azaad aur apni hudood say bahar hay kuon kay ALLAH bhataknay waloo'n ki rassi daraaz kar kay un ko aazmaata hay ....
sab say pahlay hamaara mazhab hamain insaaniat sikhaata hay waqai aadmi ko mayyasar nahi hay insaa'n hona .... yahan hum insaaniat bhoolay baithay hain aik doosray ko lootnay khasootnay say matlab hay ... insaaniyat say bay bahra ... parhay likhay jahiloo'n ki fauj tayyar kuon khari hay sirf aur sirf andhi taqleed aur apni asal say doori ki wajah say .....

kaha to bohat kuch ja sakta hay magar shayad yahan bhi is baat ko pata nahi kitnay log samjhain aur kitnay log khaali article samajh kay nazar daal kay choor dain ....
YA KHUDA HAMAARi MUSLIM UMMAH KO BHALAI, BAHTARI AUR DEEN PAR AMAL KARNAY KI TAUFEEQ ATA FARMA (Amin)

Fiamanillah
__________________
__ LosT __
Reply With Quote