View Single Post
  #86  
Old 10-13-2005, 03:44 AM
Shagufta Basit's Avatar
Shagufta Basit Shagufta Basit is offline
umm-e Awwab o Mushda
 
Join Date: Aug 2003
Location: kuch khabar nahi
Age: 30
Posts: 4,689

Country:

Tutorials: 0

My Mood:
Thanks: 1
Thanked 24 Times in 18 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 1055
Shagufta Basit has a reputation beyond reputeShagufta Basit has a reputation beyond reputeShagufta Basit has a reputation beyond reputeShagufta Basit has a reputation beyond reputeShagufta Basit has a reputation beyond reputeShagufta Basit has a reputation beyond reputeShagufta Basit has a reputation beyond reputeShagufta Basit has a reputation beyond reputeShagufta Basit has a reputation beyond reputeShagufta Basit has a reputation beyond reputeShagufta Basit has a reputation beyond repute
Awards Showcase
Poet of the Month 
Total Awards: 1
Default Re: ~*~ Mere Jugnu Meri Khushyaan ~*~apnai dostoon kai naam :)

Quote:
Originally Posted by Diya


salaam dostoo

chaliyai ab dosti ka ye kafila kuch aur agai barhatai hain aaj aap ko jis dost sai milwanai ja rahi hoon shanasai in sai meri purani nahi hai lekin kuch hi arsai mien ye na sirf meri achi dost balkai meri aik bauhat hi pyari si behna ban gai hain...hain ye mujhse choti lekin mein in ko aapi kehti hoon aap loog pehchaan gai hoongai g haan SHAGUFTA AAPI ki baat kar rahi hoon...zindagi mein bauhat kam aap ko aisai loog miltai hain jin sai mil kar yun lagta hai jaisai ye aap ki hi zaat ka hissa hoon jo kahin gum hogaya ab mila hai to aap ko apni zaat mukammal lagti hai yun lagta hai jaisai apna aap mila ho meri ye aapi mere liyai aisi hi hain..masoom si hain pyari si lekin bauhat hi mazboot iradai rakhnai wali har pal har ghari mujhe sahara daiti hain apnai honai ka ehsaas daiti hain aapi jaani aap sai sirf itna kehna hai kai i love u and thanks for always being there

~*~ mohabbat mein dhali bahar ~*~

"woh masoom si woh paryoon si...kabhi dheemai sai muskati hai...kabhi narmi sai samjhati hai..khawaboon kai jahan ko abaad kiyai woh mohabbat mein dhali bahar kai sang chalti hai "

haan woh aisi hi hai aik masoom si pari jis kai dil mein mohabbat hai jis kai ankhoon mein khawab hai nai zindagi ko panai kai nai baharoon kai sang chalnai kai.... meri ye dost aisi hi hai...mein isai zayada arsai sai nahi janti lekin kuch loog aisai hotai hain na jo aap ki zindagi mein ain to jaga khud hi ban jaati hai jaisai un kai anai sai zindagi mein aik dam raushni ho jaati hai...jin kai anai sai aik apnai pan ka ehsaas hota hai...mujhe bhi yehi mehsoos huwa tha jab ye meri dost meri zindagi mein ai thi /rose mulakaat in sai meri yaheen hui mere isi ghar mein...bauhat pyar sai narmi sai har baat ka jawab daiti theen aur mein aksar sochti thi kai ye kaisi hoongi.. phir in sai meri baat hui aur woh din aaj bhi mujeh yaad hai kitni hairaan thi mein aur ye khud bhi kam hairaan nahi hui wahan sai aik nai dosti aik nai rishtai ka aghaaz huwa jo waqt kai sath gehra ho yehi dua hai

woh meri dost masoom hai kai batoon ko nahi samajh paati woh jis kai dil mein mohabbat ka aik jahan abaad hai...har pal har lamha yehi koshish karti hai kai sab khush rahain magar woh nahi janti na kai sab ko woh khush rakh nahi sakti masoom si hai yehi kehti hai yehi chahti hai mujhe meri woh dost naram si dhoop lagti hai jis kai sang chal kar zindagi mehsoos hoti hai kabhi chaoon si lagti hai jo udasi ho yaan akaila pan ho to sirf aik muskurahat sai door kardaiti hai sirf yehi kehti hai kai udas nahi huwa karo mein hoon na sath haan woh aisi hi hai...woh jo hawaoon sai bhi kabhi larti hai kai woh kyon phooloon ko paraishaan karti hain to kabhi kantoon sai kehti hai in ki hifazat karna..woh jo barish kai katroon ko hathoon par jama kar aik jahan abaad karti hai phir un hi katroon ko hawa ki nighabaani mein dai daiti hai yehi keh kar kai in ki khabar dai ana kabhi pehroon beth kar sirf soch ki wadiyoon mein gum ho jaati hai to kabhi shokh aur chanchal hawa ki tarhaan shararat karti hai haan woh aisi hi hai woh jo muskura kar har gham seh jaati hai woh jo har baat ko dil par lai kar bhi kisi sai nahi kehti woh jo apnai andar aik jahaan abaad kiyai hai us jahan mein us kai apnai hain aur un ki to woh hifazat khud sai zayada karti hai..mein jo aksar udas ho jaoon to kehti hai "bolo kisi nai kuch kaha mein us ka moonh toor doongi " to mein hasti hoon kai khud to nazuk si hai bhala ye kaisai karai gi lekin us ka hausla chattan sa hai kai har haal mein khud ko sambhalna janti hai

mein nai us ki ankhoon mein anai walai dinon kai haseen sapnai dekhai hain haan us ki ankhain bolti hain woh kehti hain sab batain jo woh mehsoos karti hai jo us kai dil mein hain ..woh khawaboon kai sang rehnai wali bahar kai rang mein dhali aik phool si hai ...woh dil mein mohabbat ko abaad kiyai hai aap sab hairaan ho rahai hain kai mein nai in kai barai mien ye sab likha nahi mein in sai kabhi mili nahi hoon bas in ko in ki baatoon sai in kai jazboon sai jana hai...in ki ankhoon kai jo khawab hain un ko dekha hai un ko parha hai pehroon sochnai wali in ki ankhoon mein kya hai mein janti hoon samajhti hoon pata hai ye meri aapi har cheeze par bauhat sochti hain sab ko hausla dainai wali is larki kai dil mein aik hassaas dil dharakta hai jo kisi ki zara si takleef par bhi abdeeda ho jata hai...haan ye aisi hi hain kisi kai samnai apna aap nai bayaan karti bas khush rehti hain lekin kabhi kabhi kuch na keh kar bhi bauhat kuch keh jaati hain

mujhe yaad hai jab mein nai in ko aapi kehna shuru kiya tha to sab nai kaha tha "diya kuch khayal karo tum sai choti hai woh aur tum aapi keh rahi ho " jis par aapi nai barai roob sai jawab diya tha "ye do behnoon ka mamla hai aap sab na jalain " aisi hi hain ye sab ko apna bana laiti hain sab kai dard baantti rehti hain magar khud kai dil mein kya hai ye bayaan nahi karti hain...zindagi mein jab kabhi in ko pukara in ko apnai sath paya kabhi samjhati hain to kabhi dant daiti hain aur kabhi kabhi to meri bewakoofiyaan par hairaan aur paraishaan ho jaati hain mein kya karoon mujhe inhain tang karna acha lagta hai bas meri bauhat hi pyari si behna hain ye Khuda in ki zindagi mein baharoon ki raushni dai ameen sum ameen

"woh khawaboon kai sang jeeti hai
woh mohabbat mein hai rachi hui
woh lamha lamha zaat sai apni
sab ko raushan karti hai
woh pariyoon si woh nazuk si
woh shokh bhi hai woh chanchal bhi
hai yehi har pal dua usai
har khawab ki usai tabeer milai
us kai daman mein har pal hi
chahat kai ye diyai jalain
us kai angan mein har lamha
khushi ki ha raaj rahai
hai ye har pal dua usai
woh zindagi bhar yun khush rahai " ameen sum ameen


khush rahiyai sab baki ainda











uffffffffffff Diya ye wali Shagufta koun hai...... qasam sey main nahi janti isey

pehley bhi aap nay likha tha ......... aur sherminda kya tha ...ab main shukriya kahoo tu aap k chit'taroo sey dar lagta hai ..... per behud shukriya k aap nay sirf meri aachaiyaan hi likheen warna tu sara bhanda phoot jana tha

hmmmmmmmm tu do chaar alfaaz main bhi keh doon lagey hathoo.n Diya k barey main phir zindagi mouqa dey na dey kisey ilm bhala

Diya sey jaan pehchaan hoi HG pe phir yahoo pe baat hona shuru hoi ....... bohat mohabbat karne wali larki hai bohat khayyal rakhne wali ........ aur aik is ki adat jis sey mujhe kabhi kabhi uljhan bhi hoti hai aur aksar tu hansi aati hai wo hai ye k ye hawa ki sargoshiyaa sun lya karti hai ....... is ka pasandeeda jumla jo ye jab kabhi baat ho 363 baar pochti hai ." aapi aap khudh hain ? nahi nahi kuch chupa rahi hain?" matlub Diya jaani meri samajh nahi aata k main khushi zahir karne k leye kya bandriyoon matlub aap ki tarha chalangain mara karoon

in sey jab bhi baat hoi achey hi mahool main hoi ....... laraai aik baar hi hoi bas laraai kya bas main naraz ho gai thi aur BB BAJA naraaz hoi thi tu inhoo nay mana lya 5 min main ... inhain ye kamal bhi ata hai k koi in sey naraaz nahi reh sakta......... bohat hassas hain ........ aur lagta hai k khwaboon ka bara hojoom hai in ki palkoon pe...... awaaz bohat piyaari hai ....... dill us sey piyara hai ...... hmmmmmmm demagh pe zara sa shqk hai humain =))

khair mazak bar taraf meri HG ki 3/4 dostoo main sey kaaafi achi dost hain acha waqt guzarta hai in k saath hastey gaatey per phir achanak in ka wo bhai online aane k leye tarapna shuru kar deta hai aur ye 1 2 3 ghaib ......

meri dua hai k hamesha khush rahain ye apney chiyaoo miyaoo k saath
khuda bohat sokoon dey inhain har tarha sey aur inhain toufeeq dey k saal main aik aadh baar mujh jaise masoom bachoo pe kuch likhain ta k hum jawaban in ki TAREEFAINNNNNNNNNN karain tu zara jee ka bojh halka ho

(koi baat buri lagi ho tu mazrat)

bohat khush raheye
Shagufta
__________________
hai zindagi sey nibah mumkin!!!!
Main zindagi sey nibha rahi hoon

Hai us nay pocha udaas ho tum!
main tunziya muskura rahi hoon


Shagufta Basit
Reply With Quote