
10-03-2005, 10:57 PM
|
 | *A tHoUgHt* | | | Join Date: Sep 2004 Location: *iN tHoUgHtS*
Posts: 5,905
Country: Tutorials:
0 Thanks: 1
Thanked 0 Times in 0 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 873 | |
Re: ~**~Topic Of The Week (Ajj Or Muslman)~**~ | |
.
Bohot acha mozoo select kia hai Irfan Bhai ...@};-
Hamari nazer mein sab say bari kharabi mazhab say doori hai, ham dunyavi taleem tu hasil ker letay hein jo hamein sirf ye hee seekhati hai k is dunia maen kesay kamyaab hoon, or is dunia ki kamyabi k leeay insaan sab kuch ker guzerta hai, apna mazhab, apna imaan o deen apnay rishtay sab hee kuch dau per laga deta hai, osay sirf piyar rehta hai tu daulat say, k kesay isay din dooni or raat chogni karay........or jahaan jab paesa imaan ban jata hai tu os ki nazer mein sab rishtay natay , baas matlab k reh jatay hein, her cheez her rishta paesay say tola jata hai...khudgharzi , safaki, be rehmi, janam lay leti hai...or phir ye sab boraiaan jin ka aap nai ziker kia hai na, na sirf janam leti hein, balkay nasoor ban jati hein...
Ager ham dunyavi taleem k sath sath deeni taleem say bhi arasta rahein tu..Khof e KHUDA paeda hota hai, apnai mazhab k sath sath dunia ko bhi nibahna aa jata hai, sahi manoon mein achay boray ki tameez hoti hai, or dunyavi haqooq kesay nibahay jatay hein, mohabbat o khaloose bhi berhta hai, khudgharzi kam hoti hai..or ye ehsaas hota hai k sirf ye hee dunia nahein hai aakhrat bhi hai, tu phir boraiaan kam janam leti hein....kia khayal hai?
( waaaah!!! aaaj tu ham bhi kuch likh paa rahay hein.. abb chahay jesa bhi ho hamara tu ye hee khayal hai.. 1 )
. |