Thread
:
~*~ Mere Jugnu Meri Khushyaan ~*~apnai dostoon kai naam :)
View Single Post
#
1
10-03-2005, 07:44 PM
Diya
HG Administration
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein
Posts: 18,042
Country:
Tutorials:
0
Thanks: 0
Thanked 1 Time in 1 Post
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power:
1393
Awards Showcase
Total Awards
: 1
~*~ Mere Jugnu Meri Khushyaan ~*~apnai dostoon kai naam :)
permalink
salaam dostoon @};-
kai din sai soch rahi thi yahan apnai dostoon kai naam kuch likh doon lekin mauka nahi mila aaj socha kai is sai acha din bhi koi nahi hosakta
aaj jis dost kai naam kuch likh rahi hoon us ki aur meri jaan pehchaan abhi ki nahi hai kafi purani hai...zindagi mein bauhat kam aisai loog miltai hain jo aap ka har haal mein sath daitai hain chahai kuch bhi ho ranjish ho jhagrai hoon lekin sath nahi chortai mera ye dost bhi aisa hi hai
BASIT ji haan socha kai agar dostoon kai naam kuch karna hai to pehlai basit sai kuch kahoon
kyon kai dosti meri in sai sab sai purani hai...waisai mera nahi khayal mujhe basit sai zayada kuch kehna parai ga kyon kai mujeh woh jantai hain sirf itna kahoongi kai basit ka aik yakeen hai "kai chahai kuch bhi ho jai diya us sai kabhi naraz nahi hogi " aur mein sirf itna kahoongi kai ye yakeen ab bhi kayam hai kyon kai larai to hum mein hoti hai hoti rahai gi magar naraz mein is dost sai kabhi ho nahi sakti @};-
~*~ na sawaal ban kar mila karo ~*~
“usai sochoon to kabhi lamhoon mein sairaab sa lagta hai woh usai janoon to yadoon mein khawab sa lagta hai woh usai samjhoon to khayal ata hai ek kahani hai usai dekhoon to gumaan hota hai khud ek dastaan hai woh jis kai dil mein hazaroon zakhm chehrai par muskaan hi rahi woh jis ki ankhon mein sada khud ko panai ki hasrat hi rahi "
aap sab soch rahain hoongai aaj ye kis ka zikar kar rahi hoon to chaliyai aap sab ko milwati hoon us sai…meri mulakaat us sai koi nai nahi hai magar aaj bhi yehi lagta hai jaisai abhi abhi us sai mili hoon…jab kabhi bhi woh yadain dastak daiti hain to sirf aur sirf aik muskaan laboon par ati hai
aik aisa insaan jo kabhi mujhe sairaab sa lagta hai-- sairaab kyon kyon kai is nai kabhi apnai liyai jeena nahi seekha kabhi khud kai liyai socha nahi…kabhi sehra ko dekha hai aap nai aik boond paani bhi wahan milai to woh sairaab hi hota hai aur phir ye to un logoon mein sai hai jis nai hamesha apnoon par sirf aur sirf pyar ki barish ki hai phir chahai woh barish kisi bhi roop mein ho..haan ye aik sairaab sa hai kyon kai sirf daina seekha hai is nai mangnai ka dhang to isai kabhi aya nahi…jab kabhi kisi nai kuch manga is nai dai diya badlai mein kuch nahi socha na chaha shayad isliyai aaj is kai daman mein khizaan kai pathai zayada hain…logoon kai diyai zakhm zayada hain mein nai waqt kai sath halaat badaltai dekhain hain loog badaltai dekhain hain agar nahi badla to ye aik dost nahi badla
khizaan haan aik baar is nai khud ko khizaan kai patoon sa kaha tha ye kaha tha kai khizaan kai zard patton jaisa hai ye jisai loog atai hain masal kar agai chalai jatai hain us din mehsoos huwa tha jaisai ye toot sa gaya hai haar sa gaya hai hairaan hui thi kai jo kabhi mera hausla bana karta tha mujhe sahi rah dekha diya karta tha aaj kis baat ka shikaar huwa hai kyon kamzor para hai so isai kaha tha mein nai kai khizaan kai patoon sa hausla bhi sab mei nahi hai kai toot kar khud ko bekhair kar kisi ki khushyoon ki rahain sajana asaan nahi hai khud kai zakhmoon mein bhi muskurana asaan nahi hai jo ye karta raha hai kuch nahi kaha tha is nai agai sai sirf sunta raha tha janti hoon un lamhoon mein kai baar is ka yakeen toota hoga magar mein ye bhi janti hoon kai ye haar jai aisa mumkin hi nahi kyon kai khud ko sambhalna isai khoob ata hai
ye dost aisa hi hai khud ko chupa kar har baat sehan kar kar sirf muskura daita hai tankai kisi ko ye na pata chalai ye kaisa hai khud ko chupata hai sab sai haan ye fan ata hai isai sab sai chupana hansi oorh kar akailai mein ansoo bahana janta hai ye magar aik aur baat hai jo ye nahi janta shayad is ki ankhain is ka dil ka haal bayaan karti hain…mein nai aksar isai kaha hai kai kisi nai tumhein jaan na ho to sirf tumhari ankhain parhain tumhari dastaan bayaan hain in mein..aur jab ankhon ki baat kar rahi hoon to mein nai aisi ankhain bauhat kam dekhi hain…jo lamhoon mein shareer aur pal mein udas hoti hain woh jin mein halki si shararat to hoti hai lekin halki si nami kai sath woh jo khushi to mehsoos karti hain lekin chavi dard ki bhi un mein nazar ati hai..hai na ajeeb insaan yahan aap sab isai jantai hain lekin shayad koi isai aaj tak pehchaan nahi paya hai khud mein nahi kyon kai ye har moor par mujhe apna aik alag hi roop dekhata hai..aur mein sochti hi rehti hoon akhir ye hai kaun
khud ko bazahir laparwa kehta hai…jab bhi poochoon to kehta hai theek hoon mein kuch nahi huwa hai…magar is kai lehjai ko janti hon mein..who aksar is kai dard ko numaya karta hai…kabhi kisi chattan ko dekha hai aap nai woh jo toonfanoon sai lar kar bhi nahi toot ti hai…woh jo tez lehroon ki zadd mein akar bhi khud ka wajood nahi khoti hai bas ye bhi aisa hi hai haan magar kabhi kabhi darta hai h ausla kho daita hai dil kai saaf loog aksar aisai hi hotai hain…jaisa ye hai
zindagi kai utaar charhao mein jab kabhi bhi mujhe aik dost ki zaroorat pari ye hamesha maujood tha na kabhi kuch poocha na kuch kaha sirf mujhe samjha aur aisai bauhat kam loog hotai hain jo aap ko samajhtai hain kaiye batain jo aap nahi bhi kehtai woh bhi sun laitai hain aur ye mera dost aisa hi hai aaj bhi jab kabhi bhi mujhe is ki zaroorat pari hai is nai hamesha mera sath diya hai aur mein janti hoon agai bhi aisa hi hoga is ka yakeen hai mujhe
mujhse kehta hai “na sawal ban kar mila karo" aur meri takraar sada ki rahi hai “na adhori batain tum kiya karo "
Khuda sai yehi dua mangti hoon is ki rahain sada khushyon sai raushan rahain is kai angan mein sata khawaishoon kai sitarai rahain kyon kai zindagi ka aik naya safar shuru karnai ja raha hai ye aur ye mera yakeen hai kai meri aapi jaani sai achi humsafar inhain koi mil nahi sakti wish u all the best basit ameen sum ameen @}-;
__________________
Last edited by Diya; 10-03-2005 at
07:46 PM
.
Diya
View Public Profile
Find all posts by Diya