Re: Hum-Watan Ye Gulsitaa.n Tera Bhi Hai Mera Bhi Hai | | Aazadi ..... aik aisa lafz jisey suntey hi jism-o jaa.n main aik sar-shaari ki leher dorr jati hai .... aazadi ... aik aisa ehsaas jis sey roh tak shant ho jaati hai ....
aazadi ... jis k leye har charand-o parind sameet insaan har pal betaab rehta hai .... kisi masoom sey panchi ko agar pinjrey main qaid kar dejeye tu wo kaise kaise apney par parpharata hai .... kyu pharpharata hai ?? aazadi k leeye .... apney hisey ki uraan k leye ..... 1857 main pehlei baar Barr-e Sagheer k logoo.n nay baham mil k apni aazadi ka nara buland kya .... wo qoum jo do so saal tak us Khitta-e aali-shaan pe hukomat kar chuki thi ... ghulaami sey ajiz aa chuki thi ... us nay nara -e ehtajaaj buland kya .... jeetna harna aham nahi hota aham amal hota hai .... wahee.n sey aazadi ki tehreek nay zorr pakra .... ameer ghareeb, barey chotey , aurat mard, alim jahil sab nay mil k ik aazad fiza k hosool k leye jihaad kya aur bil-akhir 1947 ko zameen ka aik chota sa hissa hum barr-e zagheer k musalmanoo k hawlaey kar diya gaya ..... per ye chota sa khitta bhi hum sey sanbhala na gaya ... aur 1971 ko hum mashreeqi hissey sey haath dho bethey .......
kitni qurbaniyaa.n deen humarey buzurgo nay... sab kuch luta diya ... tahi damaan jab yahan is apney dess main aay tu tan man dhan ki baazi laga di isey sanwarney k leye per ....... per kya ye wohi Pakistan hai jis ka khwaab humarey pukhoo.n nay dekha tha ... kya ye wohi Pakistan hai jis k leye humarey buzurgoo.n nay latadaad qurbaniyaa.n den hain... kya ye humara Pakistan hai ? kya hum isey apna samajhtey hain?
__________________ hai zindagi sey nibah mumkin!!!!
Main zindagi sey nibha rahi hoon
Hai us nay pocha udaas ho tum!
main tunziya muskura rahi hoon Shagufta Basit |