Hum-Watan Ye Gulsitaa.n Tera Bhi Hai Mera Bhi Hai | | As'salam O Alaikum, jaisa k Mah-e August ka aghaaz ho chuka hai ..jaha.n bachoo.n k diloo.n main is din k hawaley sey aaney waley kal k khwaab mehektey dikhtey hain, woheen wo buzurg jo un-ginat qurbaniyaa.n dey kar yahan is apney dess main aay un ki ankhoo.n mai kal dekhey gai khwaboo.n k lo mand parti nazar aati hai ... jab k no-jawan tabqa apney guzrey kal sey na-ashna .. aney waley kal sey sehma howa nazar ata hai ... ye dess jo k humarey khwaboo.n ki sar-zameen hai ... humain is sey bohat mohabbat hai ...
is maah socha hai k sab saathi apni aqeedat ka izhaar karain is watan sey mazmoon ki shakal main.... apney dekhey gai khwaboo.n ki mil k tabeer dhondhey ... apney guzrey kal pe aik nazar dalain .... wo sab jo kuch aap mehsoos kartey hain is watan k hawaley sey aik mazmoon ki shakal main likh daleye
aap k tawun ki muntazir Hallagulla Intazamiya
__________________ hai zindagi sey nibah mumkin!!!!
Main zindagi sey nibha rahi hoon
Hai us nay pocha udaas ho tum!
main tunziya muskura rahi hoon Shagufta Basit |