Re: ~* KiuN ChaHtay ho MujhkO?!? *~ | | AHHHHHHHHHHhh woh kehta hai keh Chanda..... Khud ko haar ker… mujhe jeet jao na
Par mein toh pehlay hi haari hui hoon uss pyaase ki pyaas kya bujhaun ghi. Usski Muhabbat aqeedat hai jo Khizaan mein phool khila day, jo Gilistaan mehka day lekin woh banjar zameen ko hi sairaab kiun karna chahta hia woh ek haari hui ko phir say kiun harana chahta hai @};- Naila ji ... mohabbat baray jo ra'ey aap ne di.. wo apni jagah durust magar.. her insaan ko aisa hi lagta hai ke wo na'mukamal hai ... aur shayad khud be'aasra hai to doosray ko kya sahara de ga.. magar aisa nahi hota.. mohabbat to na'mukamal ko mukamal kernay ke liye hoti hai .. aur phir waisay bhi .. Takhliye ki baato'n main guftagoo izaafi hai
Pyar kernay wallo'n ko ik nigah kaafi hai ... to jab aisa hai to phir kya darna.. ke sairaab nahi ker paye'n gi.. magar ye jo ik shanasa khauf hai aap ka.. ye bhi durust hai .. insaan ko agar samandaro'n si mohabbat achanak mil jaye to ussay aisa hi lagta hai ke wo to bus ik mojj hai .. aur muqabil ik samandar... aap ki tehreer main umdagi iss baar bhi numayaa'n hai .. aur mohabbat ka rungg to her baar hi chaya rehta hai ... aur phir mohabbat aur aqal to 2 alag cheezen hein na .. aqal kehti hai ke mohabbat pagal'pan.. aur mohabbat kehti hai ke aqal na'samajh... to phir junoo ko aqal se kya parakhna... jazbay jis roo main behtay hein behnay dein... aap ki tehreer ki kuch baato'n ne kafi mutasir kiya... yunhi acha acha likhti rahiye aur share kertay rahiye ga.. abb ki baar share kernay ka behadd shukria @};-
wafa aur dua ke saath
withlove @};-
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |