View Single Post
  #1  
Old 06-25-2005, 03:40 PM
Poison Girl's Avatar
Poison Girl
Guest
 
Posts: n/a

Tutorials:

Default [SOLVED] ~* KiuN ChaHtay ho MujhkO?!? *~

.........woh mujhse kehta hai baras jao woh kehta hai. . .

chemas-microsoft-com[img] />Badal ki tarah ghir keh aao kisi dhin
Kya roz garajtay ho baras jao kisi din

Meine uss say kaha tum bohot muhabbat kartay ho na, mera dil karta hai keh tumhari muhabbat par kuch likhoon toh uss ne kaha “meri mohabbat per kya likh sakti ho..

jo tumhari aankhon main janam leti hia .. tumhari aankh se behti hai .. aur tumharay labb tak aa ker damm tor jati hia ..

itni si to mohabbat hai yaar meri ..” lekin ek baat woh bhool jata hia keh woh kya hai,,, woh aisa shakhs hia jisski muhabbat keh aghai koi bhi deewani apna sabh kuch haar day woh mujhe mere honay ka ehsas dilata hai, chaha jana toh sabh hi ko acha lagta hai na par woh aisa badal hai keh jo bas barasta hia jo muhabbat barsata hia aur bas barsaye chala jata hai, jiss keh ander say muhabbat khatam hi nahin hoti, woh chahta hai keh mein bhi baras jaun ussay sairaab kar doon par woh kya janay keh banjar zameen say kabhi phool ugaa nahin kartay, woh kya janay keh raigistaan ki raet mein gulaab ugaa nahin kartay, par woh mujhe sairaab kar day gha aisa usska daawa hai. Woh kehta hia usski Muhabbat mein bohot takat hai. Woh kehta hai keh acha huwa tum meri na ho saki warna mein toh baikaar ho jata, lekin agar tum meri ho jati toh qyamat say pehlay qyamat ka manzar dekh laita mein.

Woh kehta hai



Ussay kaho bohat na’muraad shay hai junooN
Ussay kaho ke Mujhe hai bohat junooN usska


Mein kya kahoon woh kya kya kehta hai, woh mujhe Pagal kar day gha ya shayed mein Pagal ho chuki hoon mujhse itni muhabbat sanmbhali nahin jati par ussay kon samjhaye. Woh kehta hai keh tum meri na ho kar bhi meri ho, mere dil mein rehti hoo meri sanson mein bassti hoo chand ho mera aur meri muhabbat say hi tum purnoor ho, jaisay Chanda Suraj say Roshni laita hia na aur phir raaton ko apnay Noor say sari dunya ko Roshan karta hai toh aisay hi tum meri Muhabbat say Noor ki manind chamaknay lagti ho, par agar mein na raha toh? Tum murjha jao ghi na Chanda! Aur mein?

Mein kuch na keh saki sirf itna keh haan shayed Muhabbat na rahi toh mein Murjha jaun ghi.

Woh kehta hia keh Woh Shayer nahin hia jabh keh uss say pyaara shayed hi koi likh sakta hai, woh kehta hia usskeh Ilfaaz sirf meri hi aqeedat keh liye nazam ki shaqal ikhteyaar kartay hian, woh kehta hai keh mein ho hoon jo usski shayeri ki wajah hoon, mera hi wajood hai jo nazam ban jata hia jabh woh kuch kehta hia, woh kehta hia tum shayera ho ya nahin mein nahin janta haan meri Shayeri ka Sabab zaroor ho, aur mujhe tumne ghazal kehna sikha diya. Lekin..? mein kya sikhaun ghi mein toh khud hi nahin janti keh kahan hooN meiN kahan rehti hooN mein kahaN hoti hooN meiN.

Mujhe Pagal kar deta hia woh apni muhabbat say, woh kehta hai keh agar mere bas agar ho sata toh woh har woh cheez mere qadmon mein dhair kar daita jiss say mein usski ban jati, woh kehta hai mein apni Muhabbat tumharay qadmon mein dher kar deta..

aur tumharay qadmo'n main mohabbat dher ker deta..tum mera hi wajood ban jati aur bas phir ankhein band kiyay meri taraf chali aati, bina kisi samt ka tayun kiyay bas meri hi janib qadam barhati rehti. Yeh usska yaqeen mujhe hila kar rakh deta hia, keh kya mein toot jauun ghi? Ya ussay tor dhoon ghi? Kya mein baras jaun ghi ya ussay Pyaasa rehnay doon ghi?



AHHHHHHHHHHhh woh kehta hai keh Chanda..... Khud ko haar ker… mujhe jeet jao na



Par mein toh pehlay hi haari hui hoon uss pyaase ki pyaas kya bujhaun ghi. Usski Muhabbat aqeedat hai jo Khizaan mein phool khila day, jo Gilistaan mehka day lekin woh banjar zameen ko hi sairaab kiun karna chahta hia woh ek haari hui ko phir say kiun harana chahta hai



Mein toh khud bhi nahin janti keh mein kabh kahan aur kaisay kiss haal mein rahoon ghi ussay kya khushi doon mein



Woh toh Muhabbat hai na…Woh junooN hai na? Toh woh yeh kiun nahin samajhta keh mein ek jalti huwi shama thi jo apni roshni phela kar abh bujh chuki hai, jisskeh paas abh ussay dene ko kuch nahin bacha, jo aisi zanjeeroN mein jakri hui hai keh shayed koi ussay azaad bhi na kar paye.

Adhoray Khwaab kabhi adhooray bhi toh reh jatay hian keh unkeh pura honay say zaroori nahin tabeer bhi mill hi jaye… haina?



Mein toh apni Zindagi Andheroon keh hawalay kar di hai phir kiun kar woh mujhse Muhabbat karta hai, mere mein aisa kuch nahin jiss say Muhabbat ki jaye, mere mein aisa kuch nahin jo kisi ki Zindagi bana day…!



Woh toh pyaar hia pyaar keh sath hi aaya hai aur pyaar hi bantay gha, par mein toh zeher hoon jo ragoon mein utar jaun toh zindagi khatam kar doon.!!



Kiun mujhse Muhabbat ki umeed rakhtay ho

Mein Zeher hooN aur tujhko nigal jauN ghi

Phir bhi kya Muskura kar tum kahay ghay?

Mein tera hoon! aur meiN machal Jaun ghi



Tumhara Wajood toh Muhabbat hia na par mein toh kuch bhi nahin Phir kaisay baras jaun..?

Last edited by Poison Girl; 06-25-2005 at 03:42 PM.