he is no more with us ..
mera jiggar mera chota bhai chala gaya choor ker mujhay..
jis waqt meri uss ki baat hove yahan jummay ki namaz ka waqt tha or woo pehr chuka tha namaz . main us ko online dhak ker hairaan tah kay ajj opration hay or ye online baytah howa hay . mainay kaha kahan bhai kehnay laaga ajj jumma hay iss liye ajj nahi kerwaya opration kal ho ga . phir kuch baatainhoven or shayad main samjah wo dc ho gaya main namaz kay liye chala gaya . kafi arsa say Jummay ki har namaz main uss kay liye bohot dua ki kay Allah us ko lambi or achee sayhaat ata fermaye usay apni hifz o amaan main rakhay . per dil mera darta tha uss ki halat sun ker . or jis ka daar tha meray under wohe ho gaya .
Allah say dua hay uusay jannat main jaga ata fermaye .
uss kay tamam gunahoon ko maaf ker kay uss ki magfirat fermaye .
uss ki qabar ko roshan or munawar karay
amin sumameen