Quote:
|
Originally Posted by Abdul Basit /aoa Diya
Haan kuch ajeeb hee safar hai yeah.. aur kabhi kabhi ajeeb tar hoo jata hai.. magar hai tu safar he... magar ta'jub tab hoota hai jab issi safar ko inheen rahoon ko.. inhee badaltee rahoon ko manzil samajh liya jaata hai.. dil o jaan, dastaar o qaba koo baich diya jaata hai.. khareed liya jaata hai.. bay'mool kar diya jaata hai..
Bohat Khush Rahoo |
wsalaam aur salaam basit
hai na ajeeb si baat kai inhi rahoon par dhoka milta hai magar phir bhi inhi rahoon ka safar hota hai inhi rahoon par wehshat mukaddar banti hai phir bhi sukoon inhi rahoon par sab talashtai hain....aik paheli si lagti hai kya aitebaar karna chahiyai yaan us kai sai sai bhi door rehna chahiyai
khush raho /rose