Quote:
|
Originally Posted by *Masood* Hmmmm Bhai miyan lagta hai keh is nagree mein bhi ganga usi tarha behti hai jaisey doosri nagri mein. Aur woh kuchh bhi to nahin kah sakta jis ney apney ooper sab kuchh bardasht kiya ho, warna apney watan sey jala-watan kon hota hai? Kuchh ghalti kahee na kahee kisi na kisi sey to zaroor hui hai....zaroorat is baat ki hai keh us ghalti ka sad-e-baab kiya jaey takeh dobara na dohraee jaey.
Warna to zindagi ka safar hai yeh hai keh kuchh log aatey hain to kuchh chaley jatey hain, kuchh log kaee aik ko apney sath ley jatey hain.... magar yehi nizaam hai duniya ka. Yaqinan aaney waley janey walon ki kami poori nahin kar saktey magar zindagi ko aagey barhana hota hai......
Aik Geet hai: "Yeh duniya mitrey, raah-guzr hai...... aur
hum bhi musafir tum bhi musafir kon kisi ka howey
kahey chhup chhup roein
koi saath dey keh na saath dey yeh safar akailey hi kaat lein
key hum bhi musafir tum bhi musafir kon kisi ka howey" |
/aoa
Sahee kaha hai aap nay.. aisa hee hai.. magar kabhi kabhi ghaltee kissi ke nahi hooti.. bus tawaqoowat aur mufadaat ke aar say niklay nashtar jaan lay liya kartay hain.. aur aksar hum samajhtay boojhtay anjaan ban jaatay hain.. aur kabhi kabhi humaree sada tabiyaat ka faida utha liya jaata hai.. kissi kay payaar ko rakh rakhaoo ko uss ke majboori samajh liya jaata hai.. aur phir aag bhi tu kabhi kabhi lag jaati hai ghar ko hee ghar kay hee chiraaagh mein.. woh bhi khail khail mein... bus youn hee hai yeah karoobar.. aur shaid younhee chalta rehna hai.. so jab tuk chalta hai chal raha hai.. chaltay ka naam gari hai.. jis din yeah pahiya ruk jaye ga.. safar bhi ruk jayai ga.. bus wohi muqaam e manzil hoo ga..
Geet pasand aya.. parhnay aur apnee raye say agaah karnay pay aap ka bohat shukriya..
Khush Rahiyeah