Re: Muqablajaat Baray Behtaren Likhaari 2004 | | Apiya khat kii baat sey ik dam zahan Daa jee [marhoom ] kii janab gia,,,,mera sub sey piyara rishta unhii kii zaat thii@};- unheyn key naam ye khatt@};- Salam Daa jee@};- Aap key jaaney key baad subhii kuch badal giya,,,,,mousam ,halaat,rishtey,muha bbateyn,,,,,,,gharz her ik shey ney rang badal diyey,,,,,,,,mein aap koo kabhii bhee yaad naheyn karta daa jee aap kabhii mujhey bhooley hoon too yaad karoon naa,,,,,,aap key jaaneyn key baad subhii koo mein ney sambhaala ,,,,,,bilak bilak key rootey hoeyey barey bhayya koo ,,,,khanam bee koo ,,,,gurya koo chootoo koo subhii koo dilaasa deyta rahta her waqt aur khud raat kii tareekii mein bilak bilak key roota thaa,,,,,,pahroo aap kii qabar pey beytha rahtaa thaa,,,,,,,buss aap key lufz they naa key khanzada mera bahadurr beyta hey ,,,,,issi baat pey kissi koo zahir naheyn hooney deyta thaa ky mein kitna toota hoon,,,,,karoobaar zameenoon kii deykh bhaal ,,,,mulazmeen sey bahter salook ,,,,jirgey subhii kuch jeysey aap kii moojoodgii mein karta thaa karta giya,,,,,,puraanii dushmanyaan jaag utheyn,,,,,,unheyn bhee nibhaa daala aap key naam pey koi harf too aaney naheyn dey sakta thaa,,,,,subhii kuch jirgaa aur apnii riwaayatoon koo mad-e-nazar rakhtey hoeyey karta giya,,,,,ghaltyaan bhee hoeyn,,,,,,,khanam bee ney manaa bhee kiya,,,,,per apney lougoon koo mutmain naa karta too subhii buzdil kahtey yehii soch kar sub kuch karta chala giya ,,,,,khanam bee naraaz hoottii chalii gaeyn,,,,barey bhaya motadil tahrey khamosh rahey aur khanam bee ney mukamal narazgii ikhteyaar kar daalii,,,,,,aaj subhii sey dour pardees mein thak haar key aap koo khatt likh raha hoon,,,,,,,haan daa jee thakk giya hoon haar giya hoon,,,,,bohut fakhar thaa naa aap koo mujh pey ,,,,bohut naz thaa,,,,,,harnaa too thaa hii daa jee. Khanam bee joo khaffa heyn mujh sey,,,,,un key hukam sey koi rabta naheyn kissi kaa mujh sey,,,,,buss aaj aap sey unhii kii shikayat karnii hey mein ney,,,,,,ghalttii,,, ,,merii hii thii per aap too sub kuch jaantey heyn naa daa jee wo bhee too jaanttii heyn sub kuch,,,,,kiyoon kia ye sub mein ney kiss key leyey kia,,,,,bhool jaata kia aap kii riwayatoon ko aap key nam pey koi harf aayey kia mein bardashat kar sakta tha,,,,,kabhii naheyn,,,,,phir khanam bee ney kiyoon naheyn socha ye sub kuch,,,,,kiyoon jeetey jee maar diya hey mujhey,,,,,jee raha hoon key marr giya hoon koi raabta naheyn,,,,,jaaney kitnii baar maafii maangii per wo tass sey mass naheyn hoeyn,,,,,,aap hii samjhayey naa unheyn daa jee,,,,,,un kaa too hissa hoon mein keysey unhoon ney mujhey bhulla dala,,,,,mujhey daa jee neend naheyn aattii,,,,,jaantey too heyn kahaan aatii thii mujhey neend,,,,,, jub tak khanam bee key qadmoon koo dabba key unhii pey sar naheyn rakhta thaa too mujhy neend naheyn aatii thii aur unn kii tilismii unglyaan jub merey baaloon koo sahlaatii theyn too mein palak chapaktey sey soo jaata thaa,,,,,roona aa raha hey daa jee,,,aap bhee too sadda key leyey rooth kar chaley gaeyey heyn na,,,,,kiss key galey lag key roooon mein,,,,,bahyaa,gury aa,choto subhii khanam bee kaa hukam maan kar mujh sey khaffa heyn,,,,,aur dost too koi kabhii raha naheyn mera,,,,patta hii naheyn kia hootii hey dosttii,,,,subhii aatey heyn mahmanoon kii tarha,,,pal bhar tahartey heyn chaley jaatey heyn,,,,koi aysaa naheyn joo saath chaley saath dey mera,,,,,,kisi pey ikhteyar koi zoor too naheyn naa,,,,subhii kii apnii majbooryaan ,apnii manzaleyn,apney khwaab heyn,kissi sey kia gila,,,,paglaa too shroo sey hii hoon daa jee kissi key muhabbat bharey meethey bool miltey heyn jee jaan waar deyta hoon,,,yehii samjhney lagta hoon key yehii mera hey ,sadda mera hii rahey gaa,,,,per naheyn daa jee ,,,,chall parra thaa ik khwaab nagar kii rah per,,,,,bina sochey bina samjhey,,,,per kia maaloom thaa,,,,uss kii manzil bhee koi aur hey,,,toot hii too giya mein,,,,ussi key dheyaan kii beysaakhyoon pey neyey toor sey jee uthaa thaa,,,,per,,,,,aysa a giraa key reyza reyza hoo giya,,,,her khwahish hii mitt gaeyey hey ab too,,,,thakk hii giya hoon haar hii giya hoon,,,haan daa jee aap kaa bahudurr khanzaada her bazii haar giya hey,,,,,sochta kuch hoon hoota kuch hey,,,,,iraada koi baandhta hoon toot jaata hey,,,,buss aap key kaheey hoeyey wo anmool lufz yaad heyn mujhey joo bachpan mein aap sey souney they,,,,yehii merey jeeney kaa sahaara heyn mujhey marney naheyn deytey,,,,,aap ney Hazrat Ali[kaw] kaa qool sounya thaa key,,,,,,,,,Mein ney apney iraadoon kii shikast sey apney ALLAH koo pahchana. Aur kia likhoon daa jee nam ankheyn saara zabt ,saara hosla toor rahii heyn. ALLAH aap koo janat-ul-firdoos mein jagha anayat farmaeyn AAMEEN@};- Aap kaa KHANZADA.
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |