
03-01-2005, 06:43 PM
|
 | Jheel si aankhaiN | | | Join Date: Jan 2005 Location: Jheel kinaaray
Posts: 21,136
Country: Tutorials:
0 Thanks: 223
Thanked 117 Times in 104 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 3694 | |
Re: Mozu_ Behes.... kiya humari nojawan nasal be-adab ho gai hay? | | Quote: |
Originally Posted by Shagufta Saleem bohat shukriyaaaaaaa mehroo /yhug
aur koi zayada nahi bolteen itna acha tu bolti ho
sahi kaha tum nay k media ka amal dakhal hay per un sab k zime daar bhi tu chanda hum hi hain na... tafreeh buri cheez nahi 1.gif) per kisi cheez ko sawaar kar lena apney upper wo buri baat hay... ab nojawan ka kiya qosoor k agar wo film dekh k khud ko Shahrukh Khan samajhney lagey ... us cabel ko dish ko ghar tak laane wala wo bacha tu hota nahi na hum barey hi laatey hain 1.gif) .... agar hum khaas kar maain agar chahain tu bachoo.n main aachi cheez ki taraf bhi rujhaan paida kar sakti hain per kahan jee hum barey kyu apna shouq marey aur jab bachey usi rang main rangain tu un pe ilzaam laga den k bhai tum kharab ho 1.gif) | hmmm,,,waqai aapi..aapki aik aik baat darust hai /clap5 ...
bilkul sahi kaha aapne ke ismain ziada amal dakhal baron ka hi hota hai. maan ki gaud bachay ki pehli dars gaah hoti hai...aaj kal to ma'ain bhi yehi karti huwi dikhti hain ke chotay asy bachay ko tv ke samnay bitha kar ya to cartoon laga diye ya phyir koi film laga di or khud itminaan say kaam main masroof ho gaeeen..iss main bachay ka to koi bhi qusoor nahin...jab buniyaad hi aisi rakhi ja'ay gi to hum kaisay kisi pukhta imarat ki tawaqqu kar saktay hain..
i m 101% agree vd u aapi /yhug .
khush rahiye
ALLAH HAFIZ
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |