View Single Post
  #33  
Old 03-01-2005, 11:29 AM
Irfan's Avatar
Irfan Irfan is offline
BIG BOSS
 
Join Date: Jul 2005
Location: Nazron Main
Age: 33
Posts: 26,606

Country:

Tutorials: 5

My Mood:
Thanks: 0
Thanked 21 Times in 19 Posts
Nominated 1 Time in 1 Post
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 3753
Irfan has a reputation beyond reputeIrfan has a reputation beyond reputeIrfan has a reputation beyond reputeIrfan has a reputation beyond reputeIrfan has a reputation beyond reputeIrfan has a reputation beyond reputeIrfan has a reputation beyond reputeIrfan has a reputation beyond reputeIrfan has a reputation beyond reputeIrfan has a reputation beyond reputeIrfan has a reputation beyond repute
Awards Showcase
Best Graphics Designer 
Total Awards: 1
Default Re: Mozu_ Behes.... kiya humari nojawan nasal be-adab ho gai hay?

Quote:
Originally Posted by pakistani_mani
Wel Said BIG B /clap5


Chalain maan laytay hain kay naujawani insaan ki Kachi Umer hai ... aur yeh bhe maan laytay hain kay boraii mai kashish hoti hai ........... phir sawal yeh aata hai kay "HUM" in borayee ki taraf kiyoon jatay hain ....... kachi ummer hai Acahyi ki taraaaf bhe ja saktay hain ............ cafe ya cable par phir woh he baat ajati hai kay app par depend karta hai kay app kis tarhaan use karo gay us ko ... even kay medicine ka bhe ghalat instemaal hota hai neend ki medicine ko loog ajj kal nashay kay toor par use kar rahay hain ....... jab insaan bacha hota hai to parents har tarhaan say us ki dekh bhaal kartay hain , us ki har cheez par nazar rakhtay hain kay woh kya kar raha hai kidher ja raha hai , kis say mil raha hai ..... laykin bacha jab jawan hota hai to ghar waloon ki rook toook , thori kaam hojati hai kiyoon hojati hai woh is wajha say kay woh samjhtay hain kay bacha Ab akalmand ho gaya hai , hamri izaat ka khyaal karay ga ..... ab agar app koi ghalat harkat kartay hoo to yeh ghar waloon ki ghalti nahi hai jab tak app na samjh thay unhoon nay app ka pora khyaal rakha achi tarbiyaat ki etc etc .... jawan honay kay baad app ka farz banta hai kay app un ki izaat ka khyaal rakhain na kay Road par beeth ka cigarette peeyeen, sharab peein ya larkiyoon ko chayrain ..... agar app raat raat tak cable deekh rahay hain to is mai bhe app ki ghalti hai app ka lose hai , app apna time barbaad kar rahay hoo , ghar mai agar app kay parents nay cable lagaya hai to zaroori nahi kay Drame , movies deekhain , app news channels sports channels bhe deekh saktay hain ....... Aur Parents kabhe nahi chahaingay kay un ki Olaad kabhe ghalat rah par chalay ......

ek example hai kay agar merey parents mujh ko kahain kay yeh kaam mat karo yeh Ghalat hai ....... unhoonay to kah diya , thora bouhat force karain gay , ab mai bacha to nahi raha kay woh mujh ko danda lay kar samjhain, ab yeh mujh par hai kay mai us kaam ko ghalat samjh kar chordh doon ya phir us ko sahi samjh kar karta rahoon , mai samjhta hoon kay mai ab is kabil hoon kay apna acha bora samjh sakta hoon................ ........ /wink3
Asal baat yah hay kay Shahid zeyada tar walidain Ajj kal ke Aam Buraioon ko detail say jantay heen zarorat hay kay Media kay he refrance say onhay is baat ka AHsaas dilaya Jaey

App jo Burai keh rahay heen yeh Ajj kal har Nujawan janta hay But i think detail say on kay walidain nhee jantay
Reply With Quote