Re: Mozu_ Behes.... kiya humari nojawan nasal be-adab ho gai hay? | | hmm,,,sab say pehlay to tareef karna chahoongi aapi aapki ke iss qadar khubsoorat or achoota sa thread start kiya. or topic bhi boohat khoob,k waqai its reality ke humari naujwaan nasal bai adab ho chuki hai. or hum asb bhi is say mubarra nahin. iska sab say bara sabab to hum sab ki apbne mazhab say doori hai...agar hum apne iqdar ko faramosh na karain, apni deeni rawayat ko pas-e-pusht na dalain to...to mujhe aisi koi wajha nazar nahin aati ke humari nasal bai adab ho. or 2nd reason iski hai media. tv, cable, in sab main jo kuch dikhaya jata hai, khuwah woh darama ho ya film, usmain aulaad jistarha piyar viyar ya kisi bhi or muamlay ki wajha say parents ke sath behave karti hai, humari naujwan nasal usi par act karti hai, bina sochay samjhay ke bhai daramay ya film main jo dikhaya ja raha hai woh reality nahin, na to woh asli maan baap hain or na hi asli aulaad. aaj kal "fan" hone ka boohat craze hai, jise daikho SHAH RUKH, AISHAWRIYA ETC ka fan bana huwa hai, ab agar logon ke yehi SUPER STARS films main bai adbi kartay dikhain gay to "FANS" ne to usay hi darust samjhna hai.
as we can see ke aaj kal pakistani films main kiya ho raha hai, danda culture, badnam-e-zamana mujrimon ko as a hero paish kiya ja raha hai..to is say humari naujwan nasal par kiya asar paray gaa??.........
lamha-e-fikriya hai yeh hum sab ke liye.....
/oopz ..kitna ziada bolti hoon main.../uff
muafi chahti hoon, kuch ziada hi emotional ho gaii thi /aw2 .
ab ijazat. khush rahiye @};-
waslam
mehroo
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px |