Topic Of The Week... Pehli Mohabbat Yaad Hamesha Rehti Hay | | AOA.... aap tamam dostoo.n ki Dosti k mozu pe shirkat bal k pur-zor shirkat ka behud shukriya...sab nay bohat aacha likha aur umeed hay aaeinda bhi aise hi apni qeemti khayalat sey humain nawaztety rahain gai
Mah_e Faruary k zikr k saath hi do cheezoo.n ka khayyal foran zehn main aata hay aik Basant aur dosrey Valentine's day..... dono tehwaar hi khushiyoon k hain mohabbatoon k ranagoo.n sey muzayyan hain tu socha kiyu na is baar mohabbat ko mozu banaya jaay aur aap tamam ki raay li jay k aaya aap kiya sochtey hain is aafaaqi jazbe k barey main.....
kehtey hain k zindagi main kiya jane wala har pehla kaam insaan ki zindagi main bohat ehmiyat rakhta hay.... jaise pehli kamiyaabi... pehla dost.... pehli tareef... pehli nafrat aur pehla Piyaar bhi .... Seene main aabad hamesha rehti hay
pehli mohabbat yaad hamesha rehti hay
aaeye aur aap bateye k aap is misrey sey kitna itafaaq kartey hain "pehli mohabbat yaad hamesha rehti hay"... aaeye aur aap bateye k mohabbat hay kiya aur akhir kiyu kar pehli mohabbat hi baaqi sab mohabbatoon pe hawi hoti hay kyu us pehli nadaan mohabat ka nasha zehn o dill sey uter hi nahi pata aaye aur apne afkaar ko alfaaz ka roop dejeye k hum aap k khayalat ko janey k mutamani hain
bohat duaoon aur naik tamanoo k saath
aap ki shirkat ki muatamnni
aik purkholoos bandi
Shagufta Saleem
__________________ hai zindagi sey nibah mumkin!!!!
Main zindagi sey nibha rahi hoon
Hai us nay pocha udaas ho tum!
main tunziya muskura rahi hoon Shagufta Basit |