Quote:
|
Originally Posted by khamoshi07 haan jee diya jee umeed pe hi tu yeh duniya Abaad hai.vesey mera naam zobia hai.zindgi aisey hi hai na bhuat se achey lamhey aye ayein gey per diya jee kabhi kabhi aisa bhi tu hota hai na ke dhukh aur andheera haamarey charoo taraf isstarha se chaa jaye ke kahin khushi ,roshini nazar bhi aye tu itna hosla hi na ho keh hum un ki umeed bhi ker sakien...aur haan Khuda bandey ko uss ki bardasht se zayada azmaish main nahin dalta..Woh sahib-kudrat hai, uss ke haat main sab kuch hai na diya jee....woh hamien hamari galtiyoon pe Muaaf karta hai ,hum sab se Maa se satar gunna zayada piyar karta hai..ham sab ke diloon ka haal janeny wala hai ...woh jo hamary Duayien sunta hai, bus uss pe kamil imman hona chihye tu sab kuch theek hojata hai na! per Diya jee kabhi kabhi zindgi aur kismat ka kufara ada karney main tamam umer bhi laag jati hai na.....kuch loogon ko kabhi mazil nahin milti kabhi rastey saath nahin detye ...aur kabhi kabhi sab kuch Aap ki muti main hota hai...zindgi kabhi kabhi itney ihsaan bhi kar jati hai ke un ihsanoo ko chukaney ke liye sari umer bhi shaid kam hogi...
Anyway, Duaoon main yaad rakhiye ga..Khuda Talah ap ko khush rakhiye aur bhuat bhuat khushiyan dey.
apni Duaoon ke saat |
zobia...aap kai is naam sai mujhe meri aik bauhat hi achi dost yaad agai kai khatti meethi batain yaad ai hain
1.gif)
aap nai sahi kaha kai kabhi kabhi zindagi ka kuffara ada karnai mein sari umer beet jaati hai aur hath kuch nahi ata aur kabhi kabhi zindagi itnai ihsan kar daiti hai kai samajh nahi ata is ka shukriya kaisai ada karain kya karain lekin zindagi aisi hi hai kabhi dhoop to kabhi chaoon kabhi aik bheegi shaam jaisi to kabhi ujaloon jaisi ye zindagi hamein bauhat kuch daiti hai magar haan laiti bhi bauhat hai kabhi kabhi insaan is kai agai haar jaata hai akhir insaan hai na kab tak chalai ka is sai larai ga lekin ye sirf azmaish hai tum ye sab batain samajhti hoo phir kyon itni mayusi apnai andar bhar rahi ho umeed ki kiran chahai dair sai milai lekin milti zaroor hai so hausla rakho...aur zindagi sai ankhain mila kar chalna seekho...
khush raho bauhat aur yehi dua karoongi kai tumhari har muskhil asaan ho ameen sum ameen /dua