View Single Post
  #4  
Old 01-07-2005, 03:57 AM
NaQsh's Avatar
NaQsh NaQsh is offline
~A CrUeL FaNtAsY~
 
Join Date: Sep 2004
Location: dAsThE TaNhAeE MeIn
Posts: 704

Country:

Tutorials: 0

My Mood:
Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 252
NaQsh is on a distinguished roadNaQsh is on a distinguished roadNaQsh is on a distinguished roadNaQsh is on a distinguished roadNaQsh is on a distinguished roadNaQsh is on a distinguished roadNaQsh is on a distinguished road
Lightbulb Re: **Apni awaz suna ke jo wo jaan-e-ghazal gayee**

[quote=withlove]Salamz @};-
kuch din aap sab se door reh ker dekha...magar raha na gaya...iss liye ik baar phir se hazir hon...abb to lagta hai shayad aap logon se mulaqat ka bahana hai ... isi liye likhta hoon...bohat shukria aap sab logon ke pyar ka... @};-
aaj mudato'n baad ik awaz suni...to aisay laga ke jaisay sehra main barson ke baad barish ki ik bond gari ho....aur phir se kuch umeed jagi ho...bus be-ikhtayar ho ker kuch ulta seedha likh dala...kabhi waqt milay to parhiye ga zaroor
Uss ki aawaz jo kaan par jaye
Meri aankhon mein jaan par jaye


wafa aur dua ke saath
withlove @};-


Apni aawaz suna ke jo wo jaan-e-ghazal gayee!


Apni aawaz suna ke jo wo jaan-e-ghazal gayee
aisa laga ke jaisay dunia hi badal gayee

aisa laga ke sab ne hi uska pata maanga
aisa laga ke deewana wo ker ke mehfil gayee

aisa laga ke sab hi usay chahaney lagay
aisa laga ke le wo sabke jaan-o-dil gayee

aisa laga ke jaisay koi bheid pa lia
aisa laga ke khlish-e-musalsal,nikal gayee

aisa laga ke khoyee huyee raah mil gayee
aisa laga ke zindagi ker mukamal gayee

aisa laga ke fiza main naghmay bikher gaye
aisa laga ke urra ke hawa aanchal gayeee

aisa laga ke khushboo ne koi phool choom lia
aisa laga ke koi kali dil mein khil gayeee

aisa laga ke dil ko bhi qarar aa gaya
aisa laga ke khusi abb janib-e-dil gayee

aisa laga ke pyasay ko daria nazar aaya
aisa laga ke khoyee manzil hi mil gayeee

aisa laga ke her shay pe nikhaar aa gaya
aisa laga ke gard-e-safar thi jo dhul gayee

aisa laga ke zehn-o-dil roshan se ho gaye
aisa laga ke socho'n main mithaas ghul gayee

aisa laga ke safar abb khatam ho gaya
aisa laga ke mojj sahil-ba-sahil gayeee

aisa laga ke yaado'n ka koi karwaa'n chala
aisa laga ke puljhari koi sukh ki chal gayeee

aisa laga ke aanay wali kal haseen hai
aisa laga ke ronay wali apni kal gayeee

aisa laga ke shafaa ke koi hawa chali
aisa laga ke beemaro'n ki sab mushkil gayee

aisa laga ke zindagi ko sab ne pukara hai
aisa laga ke arzo-ey margg pal pal gayeee

aisa laga ke sehra ki bhi pyas bujh gayee
aisa laga ke sehra ki umeed-e-baadal gayee

aisa laga ke sehar abb honay hi wali hai
aisa laga ke sham-e-hijar, nikal gayeee

aisa laga ke bujhtay diye bhi roshan huye
aisa laga ke shama-e-mohabat phir se jal gayee

aisa laga ke dukh bhi sab muskuraye hain
aisa laga ke moj-e-ghum khushi main dhal gayee
.___________________ ___________________.

.....Ji Rahey Hain Kamal Kertey Hain.....[/QUOte

beikhtiyaar koi aisey bhi likhta hai aur vvo bhi itna accha ye mein ne aaj jaana @};- BOHAT KHOOB @};-


Dil mein ik lehar si utthee hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi

shor barpa hai khaanaye dil mein
koi deewaar si girri hai abhi .....


khush rahiye
green meadows
__________________

Reply With Quote