~**... For Her ...**~ | | Zeest Mein Jeenay Ko Janat Ka Samaan Karna..
Seekhay Koi Tum Say Mohabbat Ko Zubaan Karna
Woh Khawb Jo Ankhoon Mein Aaan Bassa Hai..
Daikho Us Ko Na Kabhi Mehfil Mein Ayaan Karna..
Har Baat Dil Ke Youn Har Ik Say Nahi Kehtay..
Lag Jaati Hai Nazar, Soch Kay Bayaan Karna..
Kis Chehray Mein Chupa Baitha Ho Ghat Laga K
Milo Kissi Say Bhi Dushman Ka Gumaan Karna..
Woh Daikho Koye Hasad Say Jalnay Laga Hai..
Kaya Lazim Thaa Youn Jazboon Ko Azaan Karna..
Han Itna Kahoon Ga Mein, Sung Jeena Tairay Hai..
Aur Is Ehad Ko Mein Nay Har Pal Hai Jawann Karna.. |