Re: zindagi aisi kyun hai??? | | Pata nahi humare paas in sawalaat ka koi sahi jawaab hai k nahi.......aur pata nahi in sawalaat ka koi jawaab ho ga.......hum nahi jaante........ Hum jab tak jite hain apne se wabasta har rishte ka tawaan ada karte hain.......aur aysa karna nah karna humare bas mein nahi hota....hum aysa bohat kuch karte hain jo karne ko dil aur zehen nahi maante par karna parta hai...apne se wabasta logon, rishto ka khaiyaal kar k...kuch paa lena kuch kho dena zindagi k saath saath chalta hai......agar jo bas panaa hi panaa hota to zindagi mein koi kashish nah rehti kisi cheez ki justajoo nah hoti...aur yaksaniyat se ghabra kar phir kahan koi jaaye`?.....waqt marham howa karta hai sunte aye hain aur azmaaya bhi hai......jaante bujhte bohat cheezon se dastbardaar hona parta hai...kabhi kisi dusre k liye kabhi apne liye aur kabhi us k liye jise paane ki chah ho.....zzindagi mein bas ghum hi to nahi howa karte....bas khushi ko talash karna parta hai....aur woh hoti humare andar hi kahin hai.........hum ghumo ki chadar ko aankho se hatha kar hi bas dekh len zara sa to woh nazr aa jaye...phir yeh humara kaam hai k use kahin jaane nah dein ......aur yeh zindagi kabhi mehez bey rang nah hoti......Hum choti choti khushiyon ko khushi nahi gardaante lekin chote se ghum par waweela zaroor karte hain.......Jo mil jata hai us par shukr aur jo nah mile us par sabr karna sikh jayen to shaiyad zindagi karna asaan ho jaye............. Hum nahi jaante hum ne kya kuch keh diya...aur pata nahi aap k sawalat ka koi jawaab tha is mein k nahi........lekin dil ne cahah hum ne likh diya tawajo k liye shukriya @};- Dua go Naina
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |