Thread: ~ Bay Rukhi ~
View Single Post
  #1  
Old 11-16-2004, 01:10 AM
GreAt JasoOsa's Avatar
GreAt JasoOsa GreAt JasoOsa is offline
Senior Member
 
Join Date: Jul 2003
Age: 4
Posts: 473

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 409
GreAt JasoOsa is on a distinguished roadGreAt JasoOsa is on a distinguished roadGreAt JasoOsa is on a distinguished roadGreAt JasoOsa is on a distinguished roadGreAt JasoOsa is on a distinguished roadGreAt JasoOsa is on a distinguished roadGreAt JasoOsa is on a distinguished roadGreAt JasoOsa is on a distinguished roadGreAt JasoOsa is on a distinguished roadGreAt JasoOsa is on a distinguished roadGreAt JasoOsa is on a distinguished road
Default ~ Bay Rukhi ~

ab bohat hoo chuka ... bohat jee liya aisay ... bohat mehsoos kar liya tumhari bayrukhi ko ...
chahay tumhain apni bayrukhi ka khayal hoo ya na hoo magar mujhe hai ... jis nay uss ko mehsoos kiya hai .. tum say uss baray main sawal kiya hai magar tum uss ka jawab hee nahi day paa rahay .. kuch aur keh kar baat ko taal jaatay hoo ... yaad hai na keh aik baar kaha tha keh main hamesha tumharay saath hoon magar tum nay tu apna bhi nahi jaana mujhe ... itni bhi kya bayrukhi keh apna jeena bhi kharab kar laina aur doosray ko bhi uss ka ehsaas dilaatay rehna ... tum tu aik bahadur insaan thay .... apnay khayalat ka izhar foran kar daitay thay magar ab tumhain kya hoo gaya hai ... kyun itnay khamosh say gumsum say rehtay hoo ... kyun jab bhi main baat karnay kee koshish karti hoon tu tum aur khamosh hoo jaatay hoo ... kyun yeh chahtay hoo keh main har waqt tumharay baray mains ochti rahoon ... mujhe aisi koi yaad nahi chahiyeh jis say mairi aankhain namm hoo jaayein ... tumhain aisay apni yaadoon main nahi basana keh jahan bhi tumhara zikr aaey mujhe tumhari bayrukhi yaad aaey ... tumhari yeh khamoshi tumhari yeh bayrukhi mujhe kaatnay ko daurti hai... mujhe jeenay nahi daiti aur jab tum koi waja nahi batatay hoo tu aur bhi zalim hoo jaati hai ...

logoon ko mohabbat sakoon say nahi rehnay daiti... woh baichan karti rehti hai ... un ka sona jaagna sab bay tartyeeb hoo jaata hai ... bhook kam lagti hai ... magar mujhe tumhari khamoshi maar daalti hai ... har waqt tumhara khayal aata hai aur intazaar rehta hai keh kab tum boloo gaey ... kab mujhe baat bataoo gaey chahy wo baat kaisi bhi kyun na hoo ... na kehtay howay bhi tum bohat kuch keh jatay thay aur main sirf tumhari mohabbat say hee apni mohabbat ka rang deikhti rehti thee ....tumhari unkahee baatain samajh main aati theen magar iss baar kee khamoshi kuch zayada hee uljhan main daal rahi hai ... woh bhi aisi uljhan keh us sko jitna suljhaoon woh uthna hee uljhti jaati hai .... kya anjaam hoo ga iss sab ka? ... mujhe itna kamzoor mat banaoo apni bayrukhi say jitna keh mazboot banaya tha apni mohabbat say ...

ab iss bayrukhi ko khatam hona chahiyeh iss say pehlay keh chand ko girhan lag jaaey .. iss say pehlay uss raastay main kharay rehnay say himmat jawaab daey jaao aur main gir paroon ....

/blushsad
__________________
@};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla
Reply With Quote