Topic Of The Week......"KHWAAB" | | As'salam O Alaikum, Kaise hain sab? umeed hay thek thaak hon gai...
pichley hafte mozu diya gaya "Mard" jis main kaafi dostoo.n nay hissa liya aur sab ki tahareer parh k lutf aaya.... kisi nay mard ki batour-e insaan anwa-o iqsaam biyan ki tu kisi nay mehaz laan ta'an sey hi kaam lya.. khair jo bhi likha sab nay apni jaga bohat khoob likha...
is baar topic of the week dena tha baar ha socha aur har baar soi aik hi topic pe aa k atak gai... so is hafte ka mozu hay "Khwaab"....
khwaab do tarha k hotey hain aik wo khwaab jo k band ankhoo.n dekhain jain aur aik wo jo khuli ankhoo.n... khuli ankho.n dekhe jaane wale khwaab zayada karb'naak hotey hain...lamha lamha jaan ko tarpaay detey hain... aur aksar in ki tabeer paane k pechey insaan khaster ho jaya karta hay... khair tabeer pana tu bahar sourat mushil hi hay chahe khwaab band ankhoo k hon ya khuli ankhoon k....
aaeye aur apni apni aara dejeye k aap ki nazar main khwaab hain kya? in ki haqeeqat kya hay? insaan jantey bojtey khuli ankhoo khwaab kyu buna karta hay aur phir kyu khud hi us ghuthi main ulajh jata hay jo suljha nahi pati... aeye aur apne afaakar ko alfaaz ka roop deyeje .... apni salahiyatoon ko ujagar kejeye ... apni soch pe daskat dejeye aur bakhair deyeje sab kuch kaaghaz pe k hum aap ki aara ko jan'ney k mutammani hain..
Khuda tala aap sab ko kamyyab, khush haal aur pursakoon zindagi dey ameen summa ameen
aap ki tehreer ki muntazir
aik purkholoos bandi
Shagufta Saleem
__________________ hai zindagi sey nibah mumkin!!!!
Main zindagi sey nibha rahi hoon
Hai us nay pocha udaas ho tum!
main tunziya muskura rahi hoon Shagufta Basit |