Topic of the week: ~**... Mard ...**~ | | /aoa
MashaAllah say aab tuk 3 mukhtalif mozo'aat pay baat hoi, jis mein bohat say sathiyoon nay bohat achi achi tahreerain likheen.. aur hum ko un mozo'aat kay baray mein apni bisaarat say agaah kiya.. sab say pehlay zindagi pay baat hoi.. jis mein zindagi ko islam aur adab nuqta e nigah say paish kiya gaya.. phir baat hoi aurat pay.. aur aurat pay bohat see mukhtalif ara ka izhaar kiya gaya.. kuch nay aurat ko phool kaya tu kuch nay khaar say tashbeeh di.. kissi nay aurat ko rishtoon kay rung mein paish kiya tu kissi nay uss kay ma'sharti kirdaroon pay roshni daali.. phir baat hoi islam pay.. jis mein humaray sathiyoon nay uss sathi kay sawaloon kay jawab dainay ke koshish ki jo mazhab e islam mein shamil nahi hain magar islam ko aik ghar islami nuqta e nazar say janch'na chahtay hain.
In tamaam mozoowat pay mukhtalif logoon nay mukhtalif nuqta e nazar pay baat ke.. aur mujh ko bohat fakhar kay har aik nay apnee soch ko mantaqi andaaz mein paish karnay ke koshish kee.. inhee mozo'aat pay baat kartay howay aik mozo Arz nay paish kiya.. Marad ka.. kay marad kay opar bhi baat kee jaaye.. bilkul waisay hee jaisay aurat pay baat hoi.. waisay hee marad kaya hai.. marad ka humaray mas'hray mein kaya kirdar hai.. uss pay baat kee jaye.. buss yeahi sooch kay iss haftay ka moz'o Mard rakh rahay hain.
Aiyeah aur iss marad ko jo iss duniya mein kaye rungoon mein runga hai.. uss kay asal rung ko khoojnay ke koshish kartay hain.. aur yeah tabhi mumkin hai jab in tamaam rungoon ko jo aap nay marad ke sourat mein daikhay yahaan pay hum sab ko bataiyeah.. Mard kaya hai.. yeah sawal utna hee wasee hai jitna kay Aurat kaya hai tha.. aur mein umeed karta hoon .. sab saathi apnay apnay nuqta e nazar ko bayaan karain gai.. aur iss mozoo pay hum ko bohat achi achi tahreerain parhnay ko millain gi.. !
Aap ke Tehreeroon ka Muntazir.. Aap Kaa Sathi... Basit @};-
Khush Rahiyeah
Wa.Salam
Basit |