View Single Post
  #50  
Old 08-14-2003, 05:21 AM
*Sawan*'s Avatar
*Sawan*
Guest
 
Posts: n/a

Tutorials:

Default

QUOTE (Umeed Ki Kiran @ Aug 13 2003, 12:05 PM)
Assalam-o-Alaikum...sathio @};-
aap sab loagoN ko Jashn e aazadi bohat bohat mubarak /flower ...Sawan /hugs ...bohat hi acha topic laga mujhay ...
main nay aaj tak kabhi apnay watan k liay kuch nahi likha ...lakin yeh post dekh ker bay ikhteyaar ji chaaha k is

watan e aziz k liay jis nay humain sab kuch diya...or jis k dum say hum sab hain kuch likhooN ....aik Nazm likhi

hai...Umeed hai pasand aai gy


Aay Nigaar e Watan!!

Aay Nigaar e watan tujh say kehna hai aaj
tujh peh aanay na dooN gy main ab koi aaNch
chaahay dushman mera ho zamana tamaam
tujh peh warooN gy jaaN...tujh peh warooN gy tun

Aay Nigaar e Watan!!

Tairay khaitoN mein sabza o laali rahay
tairy basti sada dukh say khali rahay
daikhooN phooloN peh tairy khushi ki chamak
jhoomaiN masty say gaatay yeh koh o daman

Aay Nigaar e Watan!!

jab bhi dushman tera yeh zamana hua
tairy rah mein her ek perwana hua
JaaN hathaily peh rekh dy ho in ko salam
yeh jawan e watan...Nojawaan e watan

Aay Nigaar e Watan!!

yeh jo phooloN ka gulshan aabaad hai
is k dam say hi dil maira yeh shaad hai
rekh salaamat isay...taaqayamat isay
yeh hai maira sajan...yeh hai maira chaman

Aay Nigaar e Watan!!
[/b][/quote]


Walaikum Salam Umeed ki kiran /flowers

Aap ko bhi Jashn-e-Azadi bohaat bohaat mubarak ho /flag

and thanks for appriciating the post .... daikha na phir.. ;;) aaap nay bhi apnay watan kay liye kuch likh hi dala .. /good /weldone
ab atay hain aap ki nazam ki taraf..
Its really Zabardast...... daikhain to.. pehli baar likha hai to WAtan ki muhabbat jaisay sari ki sari lafzon main simat ai hai.....

bohaaat hi khoobsorat likha hai .... /weldone /flowers

Thanks for Sharing /hug
Reply With Quote