
08-13-2003, 02:07 PM
|
 | Guest | | | | |
| QUOTE (sLeEpLeSs @ Aug 13 2003, 04:50 PM) | | QUOTE (Umeed Ki Kiran @ Aug 13 2003, 10:05 AM) | Aay Nigaar e Watan!!
Aay Nigaar e watan tujh say kehna hai aaj
tujh peh aanay na dooN gy main ab koi aaNch
chaahay dushman mera ho zamana tamaam
tujh peh warooN gy jaaN...tujh peh warooN gy tun
Aay Nigaar e Watan!!
Tairay khaitoN mein sabzi o laali rahay
tairy basti sada dukh say khali rahay
daikhooN phooloN peh tairy khushi ki chamak
jhoomaiN masty say gaatay yeh koh o daman
Aay Nigaar e Watan!!
jab bhi dushman tera yeh zamana hua
tairy rah mein her ek perwana hua
JaaN hathaily peh rekh dy ho in ko salam
yeh jawan e watan...Nojawaan e watan
Aay Nigaar e Watan!!
yeh jo phooloN ka gulshan aabaad hai
is k dam say hi dil maira yeh shaad hai
rekh salaamat isay...taaqayamat isay
yeh hai maira sajan...yeh hai maira chaman
Aay Nigaar e Watan!! [/b][/quote]
Bohat hee khoobsoorat Nazam likhi hay aap nay kiran ji ..
Maza aaya parh kay ...
Khas to pay jo jazbaat biyaan kiye hain ... they were outstanding... /weldone
Thanx very much for sharing ... @};- [/b][/quote]
Bay had shukriya Sleepless bhayya (f) ... aap ki pazeeraee per mamnoon hooN
Khush rahiay /flowers |
|
|