View Single Post
  #42  
Old 08-13-2003, 09:05 AM
Umeed Ki Kiran's Avatar
Umeed Ki Kiran
Guest
 
Posts: n/a

Tutorials:

Wink

Assalam-o-Alaikum...sathio @};-
aap sab loagoN ko Jashn e aazadi bohat bohat mubarak /flower ...Sawan /hugs ...bohat hi acha topic laga mujhay ...
main nay aaj tak kabhi apnay watan k liay kuch nahi likha ...lakin yeh post dekh ker bay ikhteyaar ji chaaha k is

watan e aziz k liay jis nay humain sab kuch diya...or jis k dum say hum sab hain kuch likhooN ....aik Nazm likhi

hai...Umeed hai pasand aai gy


Aay Nigaar e Watan!!

Aay Nigaar e watan tujh say kehna hai aaj
tujh peh aanay na dooN gy main ab koi aaNch
chaahay dushman mera ho zamana tamaam
tujh peh warooN gy jaaN...tujh peh warooN gy tun

Aay Nigaar e Watan!!

Tairay khaitoN mein sabza o laali rahay
tairy basti sada dukh say khali rahay
daikhooN phooloN peh tairy khushi ki chamak
jhoomaiN masty say gaatay yeh koh o daman

Aay Nigaar e Watan!!

jab bhi dushman tera yeh zamana hua
tairy rah mein her ek perwana hua
JaaN hathaily peh rekh dy ho in ko salam
yeh jawan e watan...Nojawaan e watan

Aay Nigaar e Watan!!

yeh jo phooloN ka gulshan aabaad hai
is k dam say hi dil maira yeh shaad hai
rekh salaamat isay...taaqayamat isay
yeh hai maira sajan...yeh hai maira chaman

Aay Nigaar e Watan!!
Reply With Quote