Thread: khawab
View Single Post
  #1  
Old 10-18-2004, 11:48 PM
Mirchi's Avatar
Mirchi Mirchi is offline
Senior Members
 
Join Date: Jul 2004
Age: 7
Posts: 31

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 161
Mirchi is on a distinguished road
Default khawab

Kitnay suhanay khawab thay aankhoon main .. un kee tabeer dhoondhnay ko pae thee yeh zindagi, un khawaboon kee tameel hee uss ka maqsad tha ,magar maloom nahi tha keh har khawab ko uss kee tabeer mill jaati hai, har khawaab toot gaya jaisay keh sheeshay kay khawaab hoon .....

Kuch khawab sirf khawaab hee ban kay reh jaatay hain aur kuch aisay pooray hotay hain keh waqt ka andaza hee nahi hota keh kab woh khawab pooray hoo gaey. insaan hamesha bohat see khawahishain karta hai aur phir yeh bhi kehta hai keh uss kee har khawahish poori hoo jaaey MAGAR aisa mumkin nahi hai keh har khawahish poori hoo jaaey .. khawaaboon kee duniya suhani magar hamesha kay liye uss main basera namumkin...

khawaab boujh nahi hamaray saharay hotay hain .. yeh baat wo larki nahi jaanti thee aur apnay hee khawaboon ko apna boujh samajhnay lagi ... uss ko lagta hai uss kay kissi khawab kee tabeer nahi hai. maloom nahi keh kitna safar taey kar chuki hai apnay hee khawaboon kay saath ... apnay khawaboon ko kissi kay hawalay nahi karna chahti woh .. keh kya pata jis ko woh khawab day woh un kee hafazat kar bhi sakay ga ya nahi , un kee tameel main uss ka haath bata sakay ga ya nahi .... un khawaboon ko apnay saath rakhna bhi nahi chahti woh .. keh woh un ka boujh uthatay uthatay thak gai hai ... mayoos hoo gai hai ... kitni mohabbat say khaloos say uss nay un khaboon ko sajaya tha ... un kay pooray honay ka intazaar kiya tha .. magar kismat nay uss ka saath na diya aur kuch bayimaani kar gai uss kay saath ... us kay khawaboon kay qareeb say guzar gai, un khawaboo ko unchoa hee rehnay dia... woh intazaar hee karti rahi keh kab uss kay khawaboon kee takmeel kee baari aaey gee ... kab uss kee mehnat rang laaey gee ....kya ussay kabhi koi aisa milay ga jis say wo apnay khawaab bata sakay? kya uss kay khawaboon ko un kee tameel milay gee ya phir inhee kay boujh talay wo dhair hoo jaaey gee .....
Reply With Quote