
10-18-2004, 04:33 AM
|
 | ~* Drunk *~ | | | Join Date: Jul 2003 Location: Dubai, U.A.E
Posts: 74,318
Country: Tutorials:
0 My Mood: Thanks: 74
Thanked 434 Times in 353 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 2486 | |
Re: Topic of the Week: ~**... Islam ...**~ | | Asslam O Alaikum pa ji ..! @};-
Afsoos ki baat hai key kisi musalmaan bhai nai aisey kisi ghair mazhab ko kaha .! Mera nahi khayal Islam kahin bhi is baat ki ijazat deyta hai khair Afsoos hua @};-.. !
Hmm mo'azu aisa hai key behas mera nahi khayal aisey mo'azu per behas honi chayeh kyun k akeedey har aik k apney hain ..! par yahan jo sawal hai is ka jawab dena zaroori samjhon ga ..! aik insaan honaey kai natey aik musalmaan honaey kai natey ..! kyun kai poocha shayad Musalmaan sai gya hai ..! kay batao ..!
Bhai jee aap key liye itna kahon ga key maan liya zindage ka aik bara hisa aap nai us ghar main parwarish paii jahan mazhab hinduism tha aur un maa baap ki farma bardari kertey hein jinhon nai aap ko janam diya pala posa bara kya ..! Baeyshak un ka aap ki taraf bohat haq hai ..! Par haq toh aap ki taraf us zaat ka bhi hai jis nai is saree duniya ko paeda kya ..! jis nai kianaat key aik aik jaandar ko zindage di ..! jis nai haqeeqatan aap ko zindage di ..! Assumptions ko laey ker key kisi sai zindage nahi ji ja sakti hai ..! zindage key pehley 15 saal main toh itna hee kahon ga key itney arsey main toh insaan ko ilm hee nahi hota ..! Achey burey ki tameez koi nahi hoti aur bohat si ghaltiyan hoti hain jo na tajurbakari ka saboot deti hein ..! par kuch arsa mazeed guzarney key baad acha bure is ki tameez insaan khud kerna shuru ker deta hai ..! shayad aap ko kuch mazeed waqt chayeh ho is barey main ..! key aap SAMJHNA shuru kerein ..!
Sawal tha aap ka key janam letey waqt ham sai poocha nahi jata toh ham ko saza kyun di jaye gi ..! Jawab itna sada sa hai key kis nai keh deya aap sai key aap key janam letey waqt yeh descion ho gya key aap ko saza miley gi kyun k aap kisi ghair mazhab sai hain ..! Sara sar ghalat hai yeh ..! Saza ka haqdar insaan tabhi hai jab SAB SOCH SAMAJH KER JAAN KER BHI ghalat kerey ..! BA SHA'OOR ho ker nadani ki baat kerey tab saza hai ..! aji janam toh kisi ka bhi kahin bhi hota hai per baat hai key HAQ baat ko SACH baat ko samajh ker bhi us sai muun phaer laey ga jo Saza toh us ko miley gi ..! aur wasey bhi saza ka faisla kerney waley ham aur aap kaun woh toh OOPER WALA HEE JANEY ..!
Aik bacha jo kisi ghair mazhab gharaney main paeda hua usey kyun saza miley gi ? kis liye ? hargiz nahi aisa hargiz nahi ho ga .! par haan aik Mature admi yaan aurat jo HAQ aur SACH ko jantey hein per phir bhi ankhein phaer laein ..! un ko saza deney ka kaha gya hai ..! woh bhi OOPER WALEY par hai key maaf kerta hai yaan saza deta hai woh sab toh US kai faisley per .. ! Baat hai dawat deney ki .! aap chotey thaey toh chalein aap jis gharaney main paeda huyee wahin key reet-o-rawaj toar tareqey sab aap ko mila ..! jab aap barey huye Achey burey ki tameez hui sach kya hai maloom chala toh wahan dekhna chyeh key aya aap ko kisi nai samjhaya ? kisi nai bataya ? yaan aap key ilm main SACH kya hai woh aya ? yaan aap ko agar kisi nai us mazhab ka parchar kya toh kis tareeqey sai kya kia aap key dil main baat utri ? Agar toh in sab sawalon ka jawab haan main hai toh matlab aap sab sacha acha jantey huye bhi anjaan ban rahey hain ..! aap apni community ko yeh sab batana nahi chahtey ..! aap un ki baat man'ana chahtey hein sirf aur sirf is liye kyun key aap ki naslon sai yehi reet chali a rahee hai .! kyun key aap nai kisi aik mazhab ko Qabool nahi kya just Wirasat main liya hai ..! Baat hai kisi bhi Mazhab ko Qabool kerney ki ..!
Dekhein bhai ji ..! main ALL HAM DO LILLAH muslim gharaney main paeda hua ..! par is ka matlab main saza sai bach gya ? ho sakta hai muslim gharaney main paeda honaey kai bawajood main aik mukamal aur acha musalmaan nahi hoon toh phir kya kahyeh ? kya main stamp lagwa ker paeda hua hoon key mujhey saza nahi miley gi ? nahi hargiz nahi ..! kya main nai Islam Mazhab Qabool kya hai ? nahi hargiz nahi mujhey toh Virasat main mila hai aur main wohi ker raha hoon jo sikhaya gya aur bas ..! Yeh aik normal Muslim kerta hai yaan kahyeh key 98% loag is duniya main isi normal tareeqey sey chaltey hein key woh kisi mazhab ko Qabool nahi kertey bas Virasat main letey hein ..! Baat samjhney ki hai baat Sh'aor ki hai .!
Comparison kerna nahi chayeh per agar dekhein toh Islam kya kehta hai ? Islam key mutabiq agar chala jaye toh kasey ? Rehan sahen kya jaye toh kasey ? Hindu mazhab hai toh woh kya kehta hai ? us key mutabiq chala jaye toh kya tareeqa hai ? Rehan sehan kya jaye toh kya ? Aisaiyat hai toh woh kya kehtey hein ? us key mutabiq chala jaye toh kya tareeqa hai ? Rehan sehan kya jaye toh kya ? ..! Aisey hee aur bhi pata nahi kitney hee mazahib hain in sab ko samney rakhein study kerein TAKE UR TIME ..! poochein jitna pooch saktey hein sawal uthaein jitney sawal utha saktey hein ..! jawab miley ga INSHALLAH aur zaroor miley ga ..! sochein samjhein ghoar-o-fiker kerein ..! jis ko behter paein usi ko QABOOL kerein ..! aur itna toh main dawey sai keh sakta hoon key aik ba'ashaoor insaan agar samjhey toh bohat si nishaniyan hain @};-
Main koi alim nahi na hee main koi ALLAH ka bara naek aur parhaez gar banda hoon per shayad main zayada nahi toh kuch toh samjha saka aisa mera apna khayal hai bakee koi ghalat baat kahi ho toh us key liye mazrat @};- umeed kerta hoon key bohat nahi toh kuch toh keh gya aur bakee toh baat hoti rahey gi @};-
Waslam
__________________ H'am Woh Saya'h Bakht Hain Tariq! K Shehar Main
Jo Kholein Dukan Qaf'an Ki Toh Loag Marna He Chor Dain |