Re: *~*~ chand sai batain karna acha lagta haii ~*~ | | Loo jee PM aa gaya humain tu... ye tum kabhi tareef nahi kar saktai aab tu karni paray gi... /hang
well joke apart... tareef kay liyeah zaroori nahi tareefi qalmaat istamaal kiyeah jayain.. kahi kabhi aap kuch na keh kay bhi sab keh jatay hain.. aur kabhi kabhi youn bhi hota hai hum kehtay tu bohat kuch hain magar kuch nahi keh paatay... aap ko chand say battain kartay daikh kay woh bhi ehad e guzishta mein guzri ik shaam say wabast ik yaad kay partoo say bandhay aik chand chehra shakhas ke battain humain tu aisay laga jaisay woh khobaroo shehzada mein hee hoon.. par woh jo khair say uss nay kaha woh tu hum nahi hoo saktay hain haan behan bhai mein aisa kuch kaha suna hoo jaye tu uss reference mein agar iss tahreer ko parha jaye tu phir tu hum paish paish hain... /jin1
Khush Rahoo
Wa.Salam
Basit |