View Single Post
  #46  
Old 09-20-2004, 10:35 PM
Banjara's Avatar
Banjara Banjara is offline
aka Basit Habib
 
Join Date: Aug 2004
Location: London
Age: 37
Posts: 38,846

Country:

Tutorials: 0

Blog Entries: 1
Thanks: 1,062
Thanked 530 Times in 282 Posts
Nominated 6 Times in 5 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 1000
Banjara has a reputation beyond reputeBanjara has a reputation beyond reputeBanjara has a reputation beyond reputeBanjara has a reputation beyond reputeBanjara has a reputation beyond reputeBanjara has a reputation beyond reputeBanjara has a reputation beyond reputeBanjara has a reputation beyond reputeBanjara has a reputation beyond reputeBanjara has a reputation beyond reputeBanjara has a reputation beyond repute
Default Re: ~**... Mohabbat Likhnay Wallay Loug ...**~

Quote:
Originally Posted by Hashim Raza
Adaab.. Basit @};-

kuchh jazbay hotay hain jo lafzon kay mohtaaj nahin hotay hain, kuchh haqeeqatain aisi hoti hain jin ko lafz bayan nahin kar saktay balkay wo haqeeqat, woh jazbay khudd lafzon ko ma'ni detay hain...
kabhi kabhi aisa hota hai kay mohabbat likhnay walay log apni rawish par chaltay huey zindagi bhar mohabbat likhtay rehtay hain, kuchh aisay masoom mohabbat likhnay walay hotay hain kay apni rawish , apni dhunn main logon kay liyeh siraf mohabbat likhtay rehtay hain, laikin log, logon ka kia karin sahab, unn masom lafzon ko, kay jin main siraf mohabbat samai huee hoti hai, wo lafz kay jin main siwaey pakeeza si chahat ki khushboo kay, aur kuchh nahin hota, waqti tafreeh aur dil'pasandi kay liyeh istimaal kartay hain.. itnay qeemti lafzon ko koi ahmiyyat nahin detay hain... halankay yahi lafz itnay azeem hotay hain kay pheekay aur adhoray lafzon ko chahat aur mohabbat kay ma'ni denay walay hotay hain.. wo jazbay kitnay gehray, kitnay masoum hotay hain kay inn ko siraf mohabbat likhnay walay hi likh saktay hain..

umdah likha aap nay
khushh rahin aap
Hashim
Wa.Alaikum Salam

Takheer say jawab dainay ke maa'zrat.. mein aik aur jawab ka muntazir tha.. buss ussi intazaar mein koi jawab na day saka.. aur waisay bhi jo likha hai us mein yeahi kehna hai keh bhai jee.. lafaz bay'jaan hotay hain... aur mohabbat tu woh hai jo dharkanoon ko zubaan daiti hai... lafzoon ko qaba daiti hai.. masoomiyaat kaya hai.. yeah sawaal ajeeb hai.. magar socha pooch loon.. keh kaya hai masoomiyat.. hum nay un ko bhi daikha hai jo makroo faraib mein uss inteha pay pohanch chukay hain kay duniya un sa masoom aur paak baaz kissi aur ko samajhti hee nahi.. tu kaya masoom wohi hain jinhain loug masoom samajhtay hain.. kaisay pehchaanain gai aap inhain ? kuch mushkil kaam nahi hai kaya yeah... ? waisay aik aur baat bhi tu hai.. kuch aisay likhnay wallay bhi hootay hain jo mehaaz lafzoon ko baichnay naam khareednay kay liyeah likhtay hain.. likhtay tu woh bhi bari lay mein hain.. kaya woh mohabbat hai.. hum nay un ko bhi daikha hai aur baray kareeb daikha hai.. kaya kahiyeah un ke babat.. ? waisay bhi bhai mohabbat ka aik rung tu hai nahi.. hazaar rung hain.. jidhar daikhiyeah mohabbat he mohabbat hai.. haan magar phir bhi nafrattain likhi jaati hain.. un ka kaya kijiyeah.. loug mazoor hain.. beenaiye say mazoor.. daikh nahi saktay.. bus wohi daikhtay hain jo dikha diya jaat ahai.. jo daikhna chahtay hain.. aur phir ussi ik manzar ko yeah kuch likhnay wallay ik duniya likh daitay hain.. duniya tu miyaan bohat bari hooti hai.. kaya karain... nahi ?

Chaliyeah phir baat karain gai iss pay.. nahi tu phone pay kar lain gai.. apna khayaal rakhna.

Khush Rhaoo
Wa.Salam
Basit
__________________
Reply With Quote