Quote:
|
Originally Posted by Basit
yeahi tu humari kam'samjhi hai.. yeahi tu woh baat hai jiss say nazar dhundla jaati hai aur hum thookar khaa jatay hain.. yaqeen sirf USS zaat ka.. baki sab bay'yaqeeni.. bay'yaqeeni mein yaqeen hai.. USS ka.. aur WOH jahaan hai.. wahaan aur kuch nahi.. bus WOH he WOH.. haqeeqat aur khawb.. ik hee hain.. ankhain band kijiyeah manzar daikhiyeah.. uss mein gum hoo jayain.. woh hee haqeeqat hai.. haqeeqat ko daikhiyeah.. jhoot janiyeah.. woh jhoot ban jaye gi.. sab kaya hai.. kuch bhi nahi.. sab khawb hai.. khawb sourat hai.. haqeeqat kaya hai.. WOH hai.. bus sirf WOH.. mein tum yeah sab tamasha.. Khawb hai.. apna apna.. tum udhar say daikhtay hoo.. sab haseen nazar aata hai.. mein issi ko idhar say daikhta hoon.. bara qabeeh lagta hai sab... haqeeqat kaya hai phir.. khawb nahi tu kaya ? khawb kaya hai.. haqeeqat hee tu hai.. hum daikhtay hain.. jo guzar gaya uss ko daikhtay hain.. uss ko yaad ka naam daitay hain.. aur jo abhi aya nahi.. jab uss ka sochtay hain tu uss ko khawb kehtay hain.. woh mill jaye tu tabeer kahiyeah.. na millay tu sarab sourat.. azaab kahiyeah.. bus itni see kahani hai.. panah koi nahi daita.. kissi ko nahi milti.. bus WOH hai.. woh heelay banata hai.. waseelay banata hai.. aur phir daikhta hai koun kaisay guzarta hai. baat sirf yeah hai aap guzartay kaisay hain.. safar .... safar mein hein sab.. 1.gif) |
kabhi kabhi humne yun bhii..apne dil ko bahlaya hay.. jin baton ko khud nahiin samjhy..auron ko samjhaya hay..
.
.
.
khush aur pursukoon rahiye..phir khuwabon main ya haqeeqat main.
__________________
bare kam ke hoty hain ghar ke tooty bartan
chaat tapak'tii hay tou, keechar hone nahin dete