~**... Kasak ...**~ | | Kiyon samandar kay paniyoon mein tum nay zehar hai ghoola ? Mairi subh ko kiyon mukhatasar hai rakha.. yeah shab kiyon tum nay taveel hai kar di ? Samar yeah kis amal ka daitay hoo mujhay tum ? pehloo mein dil hai jo rakha .. ussay kis say ho dratay ? yeah sab jo hoo kartay... tu kiyon ankhoon ko mairi khawb ho daitay ? mein mayoosiyoon kay ghar mein hoon rehta ... mujhay hasratoon ke bhawar mein chooroo.. saraboon ke rah pay rakhoo.. mairay jisam ko azaab hee bakhshoo.. keh in khawboon ka khumaar tu utray.. !!
Mujhay zindagi say barh kay khawahish e mout nay hai ghaira .. mairi kam'maigi mairay hee badan ko nooch rahi hai.. mein thak gaya hoon... aab gir'nay laga hoon... thamay kashkool umeed ka apni.. tairi bay'rukhi kay raylay mein.. mein behnay hoon.. kiyon jeenay nahi daitay.. kiyon qatal nahi kartay.. kiyon daman mein mairay paro'aye hain sholay.. kyon mairay diyeah ke loo bujh kay nahi daitee.. yeah jaltee bhi tu nahi hai.. bujha kiyon nahi daitay... !!
Baychainiyaan hain kaisi.. yeah sakoot kaisa hai.. koi boolta nahi hai.. yeah shoor kaisa hai.. woh chaand ko daikhoo.. badliyoon mein khonay laga hai.. par aftaab yeah kis baat pay roonay laga hai.. yeah rooh ko mairi koun kat'ta hai daikhoo.. neendoon ko mairi kisnay.. deemak hai lagaya.. samandar kiyon aaj sab ko.. sehra say lagay hai.. !!
kiyon zindagi ko mairi neend nahi aati.. Iss raat kay safar mein.. kahaan pay hai sawaira.. khawahish e mout nay mujay phir say hai ghaira.. jeenay nahi daitay.. tu qatal kiyon nahi kartay... !! |