Re: Wo AIk Sunder Udaas Larki............ | | Hmmm.. go hum chahain tu bohat kuch keh saktay hain.. kahain kaya.. ? kuch loug aisay hee hootay hain.. bazahir aam say.. chup chaap say.. khush'gumaniyoon say bud'gumaanyoon kay safar pay rawaan.. koi un kay nain katoora ankhoon mein tu jhankay... ik jahaan jalta nazar aata hai.. hum nay daikha hai.. hum nay tu umar ka ik hissa guzara hai.. par hayrat hoi kuch ghariyoon ke he mulaqaat mein ... kaya kaya kuch jaan liya aap nay.. aap ke dua pay dil say dua nikli.. @};-
Tahreer ko tahreer ke nazar say daikhiyeah tu jo zara bhi janta hai woh pehchaan lay ga kis ke baat kar rahi hain.. humain tu khair click karnay say pehlay hee khabar hoo chuki thi kay muda kaya hai.. /wink4 acha likha hai.. haan likha kam hai.. ya shaid mujh ko sab ziada ziada chahiyeah hoota hai.. /wink4
__________________ |