It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on ~*~ Woh shakhs bay wafa nahiN...!! ~*~ within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; apni 1 adad ghazal ke sath phir say aa gaii main paish-e-khidmat hai @};- badal gaya to kiya huwa..ke dil ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat [4] |
|
#1
| |||||
| |||||
![]() apni 1 adad ghazal ke sath phir say aa gaii main ![]() paish-e-khidmat hai @};- ![]() badal gaya to kiya huwa..ke dil ka woh bura nahin usay yooN bad'dua na do...woh shakhs bay wafa nahin tere jahan main Khuda...bas aik hi kami rahi jo lut gaya, basa nahin....jo kho gaya, mila nahin hikayataiN meri sabhi... na sun sako gay humnasheeN yeh dastaN hai dard ki...yeh dil ka maajra nahin ajab hi zaabtay rahay..nazar ke is dayaar main jo aik bar gir gaya...to phir say woh utha nahin na kholna yahaN ke dar..ke dil nagar ajeeb hai jo zakhm ban gaya yahaN...woh umr bhar bhara nahin kiyon manzilaiN alag huweeN? juda huwe kiyoN rastay? ya main ulajh gaii kahiN...ya woh samajh saka nahin..! baghair jiske aik pal bhi kaatna muhaal tha umar huwi ke uska ab..koi ata pata nahin... hathailiyoN main aaj tak usi ka naam darj hai main kaisay maan looN bhala..? mera woh ab raha nahin nahin kaho isay anaa...yeh aajzi ka zau'm hai main toot kar bikhar gaii...magar yeh sar jhuka nahin khabar kiya ho sakay tujhe...ke main hooN kis azaab main! tu bay rukhi ki aag main..meri tarha jala nahin mehaz yeh farq reh gaya .. muhabbatoN ki dorr main main uski ho gaii magar.....woh mera ho saka nahin..!!! apni qeemti aara say zaroor nawaziye ga... ![]() khush rahiye ![]() Mehroo
__________________ ![]() . . . Mere dil.. Mere musaafir..! Last edited by kanch ki mehroo; 03-01-2006 at 12:22 AM. |
|
#2
| |||||
| |||||
| Tere jahaan main khuda bus eik hi kami rahi Jo lutt gaya basa nahi, jo kho gaya mila nahi Mehreen sahiba.. eik sehar angez ghazal hum se share kernay ka Behad Shukria.. waqt ke saath saath na sirf alfaz main rabtt barhta ja raha hai .. bulkay soch main gehrai aur fiker main bulandi bhi deedni hai.. Bohat hi khoob.. MashAllah..Bohat Shukria.. @};- wafa aur dua ke saath withlove @};-
__________________ ![]() .......JI RAHAY HEIN KAMAL KERTAY HEIN....... |
|
#3
| |||||
| |||||
| bacha jaani ye ghazal to mein nai parhi hai magar aik baar phir parh kar aur bhi achi lag rahi hai bauhat hi umdah ghazal hai aur alfaaz bhi bauhat khubsurat hain ![]() bauhat khush raho tum chanda ![]()
__________________ |
|
#4
| |||||
| |||||
| wow...zabardast....b ohat khoob likha hai mehrooo... ![]() main toot kar bikhar gai, magar yeh sar jhuka nahi khabar kia ho sakay tujhay k main hon kis azab main bohat khooob...dil ko chu lainay wali ghazal hai.... ...her shair la jawab hai.....![]() meri taraf sai bohat si daad qabool kar k mujhay musarat ki bulandiyon per pohnchaiay mehro baigam... ![]()
__________________ ![]() |
|
#5
| |||||
| |||||
| hmm.. can aap plz write in roman urdu jee.. ......... ![]()
__________________ ~~Main burron say lakh burra sahi...magar UNSAY hai mera Wasta~~ ..sry |
|
#6
| |||||
| |||||
| Quote:
![]() Mehreen tum bohot bohot achchha likhne lagii ho abhii ... Jo kuch Withlove ne kaha bilkul Theek kaha hai ... Tumharii soch meN kaafii puKHtagii aa chukii hai ... Mayaarii kalaam paiSH kerne lagii ho aaj kal ... Bohot saarii daad qubool kero ![]() Qassim Mirza :Qassim:
__________________ ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| tere jahan main Khuda...bas aik hi kami rahi jo lut gaya, basa nahin....jo kho gaya, mila nahin nahin kaho isay anaa...yeh aajzi ka zau'm hai main toot kar bikhar gaii...magar yeh sar jhuka nahin khabar kiya ho sakay tujhe...ke main hooN kis azaab main! tu bay rukhi ki aag main..meri tarha jala nahin wah wah bohttttttttttttttttt tttttttttttttttt hi khoobsurat ghazal likhi hai mehru ![]() ![]() ![]() ![]() ![]() tussi tey kamal di jaan hi pakar li hai kher naal ![]() ![]() khush raho sada bohttttttttttttttttt tt sara ameen sum ameen ![]()
__________________ mujhe mitti bulati hai bara dil ko rulati hai |