It seems that you are unregistered. Please register with us by clicking Here, or if you are already registered login here
Welcome to Urdu Community & Poetry/Shayari Forum
This is a discussion on Teri nigaah maiN faqat ilzaam reh gaye within the Urdu Poet Club forums, part of the Urdu Poetry category; Teri nigaah maiN faqat ilzaam reh gaye Aur ham difa-e-jurm maiN nakaam reh gaye Halaat ka sitam na bayaN ham ...
| |||||||
| Poetry | Video | Photo | Books | Games | Sites | Register | Groups | FAQ | Calendar | Mark Forums Read | Chat |
|
#1
| |||||
| |||||
| Teri nigaah maiN faqat ilzaam reh gaye Aur ham difa-e-jurm maiN nakaam reh gaye Halaat ka sitam na bayaN ham se ho saka DonoN jahaan paikar-e-dushnaam reh gaye MajbooriaN ke arsh se le ayeeN farsh par Sab khwaab asmaan pe benaam reh gaye Mangi hai ab safai ke taab-e-sukhan nahiN Ilzam jo dhare the, sar-e-aam reh gaye Qisse kitab-e-dehr maiN aise bhi the kai Aghaz likh diye gaye, anjaam reh gaye Kaise kaheN ke rasta hi khatm hogaya Manzil pe jab pohunchne maiN do gaam reh gaye Hai qeemti wo jins jo bikne ki ehl ho Ham bik na paye, dekh lo, bedaam reh gaye Jis ke bhi aagay rotay, so deta yahi jawab Teri shikayatoN maiN mere kaam reh gaye Ab ham Saraab khud ko basaayeN ge dasht maiN ShehroN maiN ab kahaN hamaiN araam reh gaye |
|
#2
| |||||
| |||||
| Ab ham Saraab khud ko basaayeN ge dasht maiN ShehroN maiN ab kahaN hamaiN araam reh gaye wahhhhh...........bo hat khoob hai ji...aap bohat acha likhtay hain bohat acha laga aap ko parh kar...khush rahin aabad rahin.. ![]()
__________________ MaiN apni piyaas pr raazi rahoN gi, Miray Aanso miray ''DiL'' Ki kafaalat k liy kaafi rahiN gay...! ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Wah..Kiya Kehny Very Nice Qisse kitab-e-dehr maiN aise bhi the kai Aghaz likh diye gaye, anjaam reh gaye Bohat Umda Gazal Kahi App Ne....... Sada Khush Rahiyee.. |
|
#4
| |||||
| |||||
| Bohot shukria Kanwal, aap ne phir hosla dia, its really so nice of u, khush rahye |
|
#5
| |||||
| |||||
| Natiq Bhai, bohot shukr guzaar hoon is zarra nawazi ke liye |
|
#6
| |||||
| |||||
| Qisse kitab-e-dehr maiN aise bhi the kai Aghaz likh diye gaye, anjaam reh gaye Kaise kaheN ke rasta hi khatm hogaya Manzil pe jab pohunchne maiN do gaam reh gaye Hai qeemti wo jins jo bikne ki ehl ho Ham bik na paye, dekh lo, bedaam reh gaye baei wah, sarabz bhai, kya kahuN in shairoN ki tareef meiN, sirf dua'aiN hi haiN ap k liay... yar kya ghazab k shair kehty haiN ap, lutf hi aa gya... kafi din bad itna waqt mayasar aaya k kuch paRh kr reply kr sakuN, aur soch raha huN k khoob mayasar aaya... aur ye manzil pe pohanchny se pehly rasta khatm hony wali bat pr to aap ko galy lagany ko ji chah raha hy, bilkul new thought... aur itna munfarid... kya kehny... meri janib se dheroN daad is khubsurat kawish ki nazr... qubool kreN... isi trha khoob se khoob ter likhty raheN aur ham se sahre krty raheN, khush raheN, aabad raheN....
__________________ tu na jadoN paas channaN! key ay saady paas way, din vi udaas saady, rataaN vi udaas way, luT gya chain sadaa, rus gye hassay way, khushiaN ny dur nssiaN... akhaN cham cham wssiaN!!! |
|
#7
| |||||
| |||||
| Jis ke bhi aagay rotay, so deta yahi jawab Teri shikayatoN maiN mere kaam reh gaye Saraabs.... kia daad di ja sakti hay is umda khyal ki.... wah. kitna nazuk aor achuta khyal hay..... Allah karay zor-e-qalam aor ziyada.... Azam
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |
|
#8
| |||||
| |||||
| Ab ham Saraab khud ko basaayeN ge dasht maiN ShehroN maiN ab kahaN hamaiN araam reh gaye ................. Bohaut He Shandar . Jitni Tahreef Ke Jaey Kam Hae . Keep Sharing ][\/][aadi |
|
#9
| |||||
| |||||
| Quote:
|
|
#10
| |||||
| |||||
| Azam Bhai, bohot bohot shukria is hosla afzai ke liye, ummeed hai ab aap se regular mulaqat rahegi HG per |
![]() |
| Bookmarks |
| Tags |
| teri, nigaah, faqat, ilzaam, reh, gaye |
| Thread Tools | |
| |
| |